un kī ārā.ish se mere kaam ban jā.eñge kyā
dil kī gutthī shāna-hā-e-zulf suljhā.eñge kyā
vasl ke va.ade se ḳhush ho kar na mar jā.eñge kyā
nāma-bar hañstā huā aatā hai ḳhud ā.eñge kyā
qaidī-e-ġham turbatoñ meñ aur un ko ye ḳhayāl
kāTne meñ ik shab-e-furqat ke mar jā.eñge kyā
kaam apnā kar chuke ahl-e-vafā shak hai to ho
sar nahīñ baaqī shahīdoñ ke qasam khā.eñge kyā
arz-e-matlab ke liye ai dil zabāñ khultī nahīñ
kuchh ishāre maiñ karūñgā vo samajh jā.eñge kyā
haath idhar uThtā nahīñ hai taar udhar baaqī nahīñ
deñge vo kyā aur ham dāman ko phailā.eñge kyā
qissa-e-farhād-o-majnūñ kyuuñ sunāte ho hameñ
jab pareshānī se matlab hai to ghabrā.eñ kyā
mehmān-e-kū-e-jānāñ ho ke dil betāb hai
maiñ to samjhātā nahīñ vo bhī na samjhā.eñge kyā
mast rahte haiñ hamesha mai-faroshān-e-jamāl
ham to māñgeñge koī sāġhar vo farmā.eñge kyā
kyuuñ na chup baiThūñ qafas meñ duur hī fasl-e-bahār
āh-o-zārī se mirī mausam badal jā.eñge kyā
tinke tinke kā ḳhudā-hāfiz chale ham baaġh se
alvidā.a ai āshiyāñ ab jā ke phir ā.eñge kyā
dil kī bīmārī kā uqda kholnā dushvār hai
jo nahīñ samjhe vo 'sāqib' mujh ko samjhā.eñge kyā
un ki aaraish se mere kaam ban jaenge kya
dil ki gutthi shana-ha-e-zulf suljhaenge kya
wasl ke wade se KHush ho kar na mar jaenge kya
nama-bar hansta hua aata hai KHud aaenge kya
qaidi-e-gham turbaton mein aur un ko ye KHayal
kaTne mein ek shab-e-furqat ke mar jaenge kya
kaam apna kar chuke ahl-e-wafa shak hai to ho
sar nahin baqi shahidon ke qasam khaenge kya
arz-e-matlab ke liye ai dil zaban khulti nahin
kuchh ishaare main karunga wo samajh jaenge kya
hath idhar uThta nahin hai tar udhar baqi nahin
denge wo kya aur hum daman ko phailaenge kya
qissa-e-farhad-o-majnun kyun sunate ho hamein
jab pareshani se matlab hai to ghabraen kya
mehman-e-ku-e-jaanan ho ke dil betab hai
main to samjhata nahin wo bhi na samjhaenge kya
mast rahte hain hamesha mai-faroshan-e-jamal
hum to mangenge koi saghar wo farmaenge kya
kyun na chup baiThun qafas mein dur hi fasl-e-bahaar
aah-o-zari se meri mausam badal jaenge kya
tinke tinke ka KHuda-hafiz chale hum bagh se
alwidaa ai aashiyan ab ja ke phir aaenge kya
dil ki bimari ka uqda kholna dushwar hai
jo nahin samjhe wo 'saqib' mujh ko samjhaenge kya
Source :
- Book : Deewan-e-Saqib (Pg. 152)
- Author : Mirza Zakir Husain Qazlibaas Saqib Lucknowvi
-
Publication : Urdu Acadami U.P.
(1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.