Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wan irada aaj us qatil ke dil mein aur hai

Bahadur Shah Zafar

wan irada aaj us qatil ke dil mein aur hai

Bahadur Shah Zafar

MORE BYBahadur Shah Zafar

    vaañ irāda aaj us qātil ke dil meñ aur hai

    aur yahāñ kuchh aarzū bismil ke dil meñ aur hai

    vasl Thahrāve zālim to kisī sūrat se aaj

    varna Thahrī kuchh tire maa.il ke dil meñ aur hai

    hai hilāl o badr meñ ik nuur par jo raushnī

    dil meñ nāqis ke hai vo kāmil ke dil meñ aur hai

    pahle to miltā hai dildārī se kyā kyā dilrubā

    bāñdhtā mansūbe phir vo mil ke dil meñ aur hai

    hai mujhe bād-az-savāl-e-bosa ḳhvāhish vasl

    ye tamannā ek is saa.il ke dil meñ aur hai

    go vo mahfil meñ na bolā ga.e chitvan se ham

    aaj kuchh us raunaq-e-mahfil ke dil meñ aur hai

    yuuñ to hai vo dil-e-ālam ke dil meñ ai 'zafar'

    us aalam mard-e-sāhab dil ke dil meñ aur hai

    wan irada aaj us qatil ke dil mein aur hai

    aur yahan kuchh aarzu bismil ke dil mein aur hai

    wasl ki Thahrawe zalim to kisi surat se aaj

    warna Thahri kuchh tere mail ke dil mein aur hai

    hai hilal o badr mein ek nur par jo raushni

    dil mein naqis ke hai wo kaamil ke dil mein aur hai

    pahle to milta hai dildari se kya kya dilruba

    bandhta mansube phir wo mil ke dil mein aur hai

    hai mujhe baad-az-sawal-e-bosa KHwahish wasl ki

    ye tamanna ek is sail ke dil mein aur hai

    go wo mahfil mein na bola pa gae chitwan se hum

    aaj kuchh us raunaq-e-mahfil ke dil mein aur hai

    yun to hai wo hi dil-e-alam ke dil mein ai 'zafar'

    us ka aalam mard-e-sahab dil ke dil mein aur hai

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Mehran Amrohi

    Mehran Amrohi

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    wan irada aaj us qatil ke dil mein aur hai Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now