yaqin kaise dilaun ki tujh pe marta hun
yaqīn kaise dilā.ūñ ki tujh pe martā huuñ
tire liye maiñ abhī apnā ḳhuun kartā huuñ
mire makān ne kyoñ mujh ko bāñdh rakkhā hai
isī galī se maiñ har baar kyoñ guzartā huuñ
saḌak pe log khilaunā dikhā.ī dete haiñ
maiñ apne room kī khiḌkī pe jaate Dartā huuñ
vo kaun hai jo mire sāmne nahīñ aatā
maiñ apne aap meñ kis ko talāsh kartā huuñ
zamāna chāñd se aage nikal gayā 'alvī'
magar maiñ barf ke ghar meñ paḌā ThiThurtā huuñ
yaqin kaise dilaun ki tujh pe marta hun
tere liye main abhi apna KHun karta hun
mere makan ne kyon mujh ko bandh rakkha hai
isi gali se main har bar kyon guzarta hun
saDak pe log khilauna dikhai dete hain
main apne room ki khiDki pe jate Darta hun
wo kaun hai jo mere samne nahin aata
main apne aap mein kis ko talash karta hun
zamana chand se aage nikal gaya 'alwi'
magar main barf ke ghar mein paDa ThiThurta hun
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 50)
- Author : Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.