ye aankh hai to use aisi ab jila mil jae
ye aañkh hai to use aisī ab jilā mil jaa.e
parat diloñ kī khuleñ dard kā pata mil jaa.e
ye khel bhī ho havas apne haath lambā.e
kahīñ bhī ho vo mirī god meñ paḌā mil jaa.e
girā hī duuñ maiñ abhī haft-rang dīvāreñ
bikhar hī jā.ūñ agar sar-phirī havā mil jaa.e
mile phir aisī zamīñ jiskā or-chhor na ho
phir us zamīñ pe hameñ āsmāñ dharā mil jaa.e
kabhī to baaġh kā paiġhām dasht meñ aa.e
kahīñ to ret pe chaltī huī havā mil jaa.e
guzar hamārā bhī sunsān jangaloñ meñ ho
hameñ bhī aag ke badle kahīñ ḳhudā mil jaa.e
utartā Dūbtā jaatā huuñ chup ke dariyā meñ
kisī kī chīḳh koī duur kī sadā mil jaa.e
ye aankh hai to use aisi ab jila mil jae
parat dilon ki khulen dard ka pata mil jae
ye khel bhi ho hawas apne hath lambae
kahin bhi ho wo meri god mein paDa mil jae
gira hi dun main abhi haft-rang diwaren
bikhar hi jaun agar sar-phiri hawa mil jae
mile phir aisi zamin jiska or-chhor na ho
phir us zamin pe hamein aasman dhara mil jae
kabhi to bagh ka paigham dasht mein aae
kahin to ret pe chalti hui hawa mil jae
guzar hamara bhi sunsan jangalon mein ho
hamein bhi aag ke badle kahin KHuda mil jae
utarta Dubta jata hun chup ke dariya mein
kisi ki chiKH koi dur ki sada mil jae
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 77)
- Author : Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.