ye mat samjho haqiqat se kinara karne wala hun
ye mat samjho haqīqat se kināra karne vaalā huuñ
maiñ sab ḳhvāboñ ko apne paara paara karne vaalā huuñ
jise maiñ ne kabhī aadhā adhūrā kar ke chhoḌā thā
vo kaam ab ke ba-tarz-e-nau dubāra karne vaalā huuñ
kiyā thā kal musaḳhḳhar bas zarā sā hī jise maiñ ne
use apnā maiñ ab saare kā saarā karne vaalā huuñ
milī fursat to phir is ko kabhī sūraj meñ Dhālūñgā
abhī to is sharar ko maiñ sitāra karne vaalā huuñ
jise dekho yahāñ auroñ ke nuqsāñ kā hī bā'is hai
bas ik meñ huuñ jo aap apnā ḳhasāra karne vaalā huuñ
jahāñ vaalo mirī in an-khulī āñkhoñ pe mat jaao
maiñ band āñkhoñ se duniyā kā nazāra karne vaalā huuñ
sun ai fir'aun-e-'ālam maiñ koī muusā nahīñ lekin
maiñ terī saltanat ko paara paara karne vaalā huuñ
zabāñ se kuchh na kahnā husn kī fitrat sahī lekin
ye ḳhāmoshī bhalā kab maiñ gavārā karne vaalā huuñ
agar samjhe to bas ahl-e-nazar samjheñge kuchh 'najmī'
maiñ ġhazloñ meñ bahut nāzuk ishāra karne vaalā huuñ
ye mat samjho haqiqat se kinara karne wala hun
main sab KHwabon ko apne para para karne wala hun
jise main ne kabhi aadha adhura kar ke chhoDa tha
wo kaam ab ke ba-tarz-e-nau dubara karne wala hun
kiya tha kal musaKHKHar bas zara sa hi jise main ne
use apna main ab sare ka sara karne wala hun
mili fursat to phir is ko kabhi suraj mein Dhaalunga
abhi to is sharar ko main sitara karne wala hun
jise dekho yahan auron ke nuqsan ka hi ba'is hai
bas ek mein hun jo aap apna KHasara karne wala hun
jahan walo meri in an-khuli aankhon pe mat jao
main band aankhon se duniya ka nazara karne wala hun
sun ai fir'aun-e-'alam main koi musa nahin lekin
main teri saltanat ko para para karne wala hun
zaban se kuchh na kahna husn ki fitrat sahi lekin
ye KHamoshi bhala kab main gawara karne wala hun
agar samjhe to bas ahl-e-nazar samjhenge kuchh 'najmi'
main ghazlon mein bahut nazuk ishaara karne wala hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.