ghafil hain aise sote hain goya jahan ke log
ġhāfil haiñ aise sote haiñ goyā jahāñ ke log
hālāñki raftanī haiñ sab is kārvāñ ke log
majnūñ-o-kohkan na talaf ishq meñ hue
marne pe jī hī dete haiñ is ḳhāndāñ ke log
kyūñkar kaheñ ki shahr-e-vafā meñ junūñ nahīñ
us ḳhasm-e-jāñ ke saare divāne haiñ yaañ ke log
raunaq thī dil meñ jab ta.iiñ baste the dil-barāñ
ab kyā rahā hai uTh ga.e sab is makāñ ke log
tū ham meñ aur aap meñ mat de kisū ko daḳhl
hote haiñ fitna-sāz yahī darmiyāñ ke log
marte haiñ us ke vāste yuuñ to bahut vale
kam-āshnā haiñ taur se us kām-e-jāñ ke log
pattī ko is chaman kī nahīñ dekhte haiñ garm
jo mahram-e-ravish haiñ kuchh us bad-gumāñ ke log
but chiiz kyā ki jis ko ḳhudā mānte haiñ sab
ḳhush-e'tiqād kitne haiñ hindostāñ ke log
firdaus ko bhī aañkh uThā dekhte nahīñ
kis darja sair-chashm haiñ kū-e-butāñ ke log
kyā sahl jī se haath uThā baiThte haiñ haa.e
ye ishq-peshgāñ haiñ ilāhī kahāñ ke log
muñh takte hī rahe haiñ sadā majlisoñ ke biich
goyā ki 'mīr' mahv haiñ merī zabāñ ke log
ghafil hain aise sote hain goya jahan ke log
haalanki raftani hain sab is karwan ke log
majnun-o-kohkan na talaf ishq mein hue
marne pe ji hi dete hain is KHandan ke log
kyunkar kahen ki shahr-e-wafa mein junun nahin
us KHasm-e-jaan ke sare diwane hain yan ke log
raunaq thi dil mein jab tain baste the dil-baran
ab kya raha hai uTh gae sab is makan ke log
tu hum mein aur aap mein mat de kisu ko daKHl
hote hain fitna-saz yahi darmiyan ke log
marte hain us ke waste yun to bahut wale
kam-ashna hain taur se us kaam-e-jaan ke log
patti ko is chaman ki nahin dekhte hain garm
jo mahram-e-rawish hain kuchh us bad-guman ke log
but chiz kya ki jis ko KHuda mante hain sab
KHush-e'tiqad kitne hain hindostan ke log
firdaus ko bhi aankh uTha dekhte nahin
kis darja sair-chashm hain ku-e-butan ke log
kya sahl ji se hath uTha baiThte hain hae
ye ishq-peshgan hain ilahi kahan ke log
munh takte hi rahe hain sada majlison ke bich
goya ki 'mir' mahw hain meri zaban ke log
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0846
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.