ishq hamara darpa-e-jaan hai kaisi KHusumat karta hai
ishq hamārā darpa-e-jāñ hai kaisī ḳhusūmat kartā hai
chain nahīñ detā hai zālim jab tak āshiq martā hai
shāyad lambe baal us mah ke bikhar ga.e the baav chale
dil to pareshāñ thā hī merā raat se jī bhī bikhartā hai
sūrat us kī dīda-e-tar meñ phirtī hai har roz-o-shab
hai na achambhā ye bhī kahīñ paanī meñ naqsh ubhartā hai
kyā dushvār guzar hai tarīq-e-ishq musāfir-kush yaaro
jī se apne guzar jaatā hai jo is raah guzartā hai
haal kisū be-tah kā yaañ maanā hai habāb dariyā se
Tuk jo havā duniyā kī lagī to ye kam-zarf aphartā hai
yaad ḳhudā ko kar ke kaho Tuk paas hamāre ho jaave
sad-sāla ġham dekhe us ḳhush-chashm-o-rū kī basartā hai
dāman dīda-e-tar kī vus.at dekhe hī ban āvegī
abr-e-siyāh-o-safed jo ho so paanī in kā bhartā hai
dil kī laag nahīñ chhuptī hai koī chhupāve bahuterā
zardī-e-ishq se be-ulfat ye rang kisū kā nikhartā hai
khīñch ke teġha apnā har dam kyā logoñ ko Darāte ho
'mīr' jigar-dār aadmī hai vo kab marne se Dartā hai
ishq hamara darpa-e-jaan hai kaisi KHusumat karta hai
chain nahin deta hai zalim jab tak aashiq marta hai
shayad lambe baal us mah ke bikhar gae the baw chale
dil to pareshan tha hi mera raat se ji bhi bikharta hai
surat us ki dida-e-tar mein phirti hai har roz-o-shab
hai na achambha ye bhi kahin pani mein naqsh ubharta hai
kya dushwar guzar hai tariq-e-ishq musafir-kush yaro
ji se apne guzar jata hai jo is rah guzarta hai
haal kisu be-tah ka yan mana hai habab dariya se
Tuk jo hawa duniya ki lagi to ye kam-zarf apharta hai
yaad KHuda ko kar ke kaho Tuk pas hamare ho jawe
sad-sala gham dekhe us KHush-chashm-o-ru ki basarta hai
daman dida-e-tar ki wusat dekhe hi ban aawegi
abr-e-siyah-o-safed jo ho so pani in ka bharta hai
dil ki lag nahin chhupti hai koi chhupawe bahutera
zardi-e-ishq se be-ulfat ye rang kisu ka nikharta hai
khinch ke tegha apna har dam kya logon ko Daraate ho
'mir' jigar-dar aadmi hai wo kab marne se Darta hai
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 5, Ghazal No- 1770
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.