jangal mein chashm kis se basti ki rahbari ki
jangal meñ chashm kis se bastī kī rahbarī kī
sāhib hī ne hamāre ye banda-parvarī kī
shab sun ke shor merā kuchh kī na be-dimāġhī
us kī galī ke sag ne kiyā ādmī-garī kī
karte nahīñ haiñ dil ḳhuuñ is rang se kisū kā
ham dil-shudoñ kī un ne kyā ḳhuub dilbarī kī
allah re kyā namak hai aadam ke husn meñ bhī
achchhī lagī na ham ko ḳhush-sūratī parī kī
hai apnī mahr-varzī jāñ-kāh-o-dil-gudāzāñ
is ranj meñ nahīñ hai ummīd behtarī kī
raftār-e-nāz kā hai pāmāl ek aalam
us ḳhud-numā ne kaisī ḳhud-rā.ī ḳhud-sarī kī
ai kaash ab na chhoḌe sayyād qaidiyoñ ko
jī hī se mārtī hai āzādī be-parī kī
us rashk-e-mah se har shab hai ġhair se laḌā.ī
baḳht-e-siyah ne baare in rozoñ yāvarī kī
khuT-pachriyāñ hī kī haiñ sarrāf ke ne ham se
paise de be-ruī kī phir le ga.e kharī kī
guzre basān-e-sarsar aalam se be-ta.ammul
afsos 'mīr' tum ne kyā sair sarsarī kī
jangal mein chashm kis se basti ki rahbari ki
sahib hi ne hamare ye banda-parwari ki
shab sun ke shor mera kuchh ki na be-dimaghi
us ki gali ke sag ne kiya aadmi-gari ki
karte nahin hain dil KHun is rang se kisu ka
hum dil-shudon ki un ne kya KHub dilbari ki
allah re kya namak hai aadam ke husn mein bhi
achchhi lagi na hum ko KHush-surati pari ki
hai apni mahr-warzi jaan-kah-o-dil-gudazan
is ranj mein nahin hai ummid behtari ki
raftar-e-naz ka hai pamal ek aalam
us KHud-numa ne kaisi KHud-rai KHud-sari ki
ai kash ab na chhoDe sayyaad qaidiyon ko
ji hi se marti hai aazadi be-pari ki
us rashk-e-mah se har shab hai ghair se laDai
baKHt-e-siyah ne bare in rozon yawari ki
khuT-pachriyan hi ki hain sarraf ke ne hum se
paise de be-rui ki phir le gae khari ki
guzre basan-e-sarsar aalam se be-tammul
afsos 'mir' tum ne kya sair sarsari ki
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 4, Ghazal No- 1500
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.