nahin aisa koi mera jo matam-dar hoega
nahīñ aisā koī merā jo mātam-dār ho.egā
magar ik ġham tirā ai shoḳh be-kas ho ke ro.egā
agar ugte rahe ai nā-umīdī daaġh aise hī
to kaahe ko koī tuḳhm-e-tamannā dil meñ bo.egā
ilāhī vo bhī din hogā ki jis meñ ek saa.at bhī
maiñ ro.ūñgā vo apne haath mere muñh ko dho.egā
jo aise shor se rotā hai din ko 'mīr' to shab ko
na sone degā hamsāyoñ ko nai ye aap so.egā
nahin aisa koi mera jo matam-dar hoega
magar ek gham tera ai shoKH be-kas ho ke roega
agar ugte rahe ai na-umidi dagh aise hi
to kahe ko koi tuKHm-e-tamanna dil mein boega
ilahi wo bhi din hoga ki jis mein ek saat bhi
main rounga wo apne hath mere munh ko dhoega
jo aise shor se rota hai din ko 'mir' to shab ko
na sone dega hamsayon ko nai ye aap soega
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0146
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.