Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chaar anokhii KHvaahishaat

Asif Jaanif

chaar anokhii KHvaahishaat

Asif Jaanif

MORE BYAsif Jaanif

    mujhe chaahiye.n do 'adad 'izraa.iilii haath

    taaki mai.n gho.nT sakuu.n

    tumhaarii yaad kaa galaa

    aur nikaal sakuu.n us kii ruuh

    mujhe chaahiye ek 'adad israafiilii siren

    taaki mai.n uThaa sakuu.n

    apne andar barso.n se dafn

    us murda ko

    jis ko maar Daalaa thaa

    vaqt aur tum ne mil kar

    mujhe chaahiye.n do 'adad jibra.iilii par

    taaki mai.n u.D sakuu.n

    itnaa tez

    itnaa tez

    ki palak jhapakte hii pahu.nch jaa.uu.n

    ek aisii jagah

    ki jahaa.n na ho

    kisii bhii shai par tumhaare chehre kii muhr

    mujhe chaahiye ek 'adad miikaa.iilii taaqat

    taaki mai.n barsaa sakuu.n

    apne dil-o-dimaaG par vo baarish

    ki jis se bujh jaa.e dil-o-dimaaG kii aag

    aur phir chalaa sakuu.n vo havaa

    ki jis se tar-o-taaza ho jaa.e.n dil-o-dimaaG

    mujhe chaahiye.n do 'adad 'izraa.iilii haath

    taaki mai.n gho.nT sakuu.n

    tumhaarii yaad kaa galaa

    aur nikaal sakuu.n us kii ruuh

    mujhe chaahiye ek 'adad israafiilii siren

    taaki mai.n uThaa sakuu.n

    apne andar barso.n se dafn

    us murda ko

    jis ko maar Daalaa thaa

    vaqt aur tum ne mil kar

    mujhe chaahiye.n do 'adad jibra.iilii par

    taaki mai.n u.D sakuu.n

    itnaa tez

    itnaa tez

    ki palak jhapakte hii pahu.nch jaa.uu.n

    ek aisii jagah

    ki jahaa.n na ho

    kisii bhii shai par tumhaare chehre kii muhr

    mujhe chaahiye ek 'adad miikaa.iilii taaqat

    taaki mai.n barsaa sakuu.n

    apne dil-o-dimaaG par vo baarish

    ki jis se bujh jaa.e dil-o-dimaaG kii aag

    aur phir chalaa sakuu.n vo havaa

    ki jis se tar-o-taaza ho jaa.e.n dil-o-dimaaG

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta 10th Edition | 5-6-7 December Get Tickets Here

    Speak Now