devtaa kii khop.Dii aur ham
mujhe lagtaa hai
kisii devtaa ne
over thinking ke baa'd
coffee banaa kar pahlii chuskii lii hogii
use kaa.enaat kaa KHayaal aayaa hogaa
aur ab vo is KHayaal kaa piichhaa karne me.n magan hai
kyaa pataa
yahaa.n ko.ii bhii shai haqiiqii na ho
ho saktaa hai ye kaa.enaat
mahaz kisii devtaa kaa KHayaal ho
mere zehn me.n
muKHtalif KHayaalaat chal rahe hai.n
mai.n ko.ii KHayaal tark kartaa huu.n
to us par qayaamat aa jaatii hai
shaayad
vo devtaa bhii
kaa.enaat kaa KHayaal chho.D de
aur qayaamat usii lamhe kaa naam ho
agar ham sab
devtaa kii khopDii me.n
chalne vaale KHayaalaat nikle
to phir
mujhe lagtaa hai
kisii devtaa ne
over thinking ke baa'd
coffee banaa kar pahlii chuskii lii hogii
use kaa.enaat kaa KHayaal aayaa hogaa
aur ab vo is KHayaal kaa piichhaa karne me.n magan hai
kyaa pataa
yahaa.n ko.ii bhii shai haqiiqii na ho
ho saktaa hai ye kaa.enaat
mahaz kisii devtaa kaa KHayaal ho
mere zehn me.n
muKHtalif KHayaalaat chal rahe hai.n
mai.n ko.ii KHayaal tark kartaa huu.n
to us par qayaamat aa jaatii hai
shaayad
vo devtaa bhii
kaa.enaat kaa KHayaal chho.D de
aur qayaamat usii lamhe kaa naam ho
agar ham sab
devtaa kii khopDii me.n
chalne vaale KHayaalaat nikle
to phir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.