mahbuubiyat
mai.n tumhaarii aa.nkho.n ke tamaam-tar raazo.n se
is qadar vaaqif huu.n
ki mujhe un me.n dekh lene se le kar Duub jaane tak aur Duub jaane se le kar mar jaane tak ko.ii KHauf nahii.n
mai.n tumhaare ho.nTo.n kii laalii ko be-rang karne
aur us kii be-rangii ko laal karne me.n itnaa maahir huu.n
ki mai.n laal kahuu.n to ye laal ho jaa.e.n
mai.n be-rang kahuu.n to ye be-rang ho jaa.e.n aur mai.n inhe.n chuum lene se sabz ho jaataa huu.n
mai.n tumhaare shakiil chehre ke sabhii nuquush se
is darja aashnaa huu.n
ki samundar kii aThkheliyaa.n kartii sarkash lahro.n ke uupar
aur thartharaatii havaa.o.n ke canvaas par
arz-o-samaa me.n nihaa.n-o-ayaa.n tamaam rango.n se tumhaarii suurat banaa saktaa huu.n
mai.n tumhaarii kashiida qaamat ko kaa.enaat kii tamaam rif'ato.n se uu.nchaa samajhtaa huu.n
ki mai.n ne tumhe.n baarhaa sar se paa.nv talak chuumaa hai magar mujhe lagtaa hai ki ab bhii tumhaare badan kaa kuchh hissa
chuumne se rah rahaa hai
mai.n tumhaarii kaakul-e-mushkii.n kii
pur-asraariyat se itnaa muta.assir huu.n ki mujhe black hole kaa bhed jaan.ne me.n ko.ii dilchaspii nahii.n
aur mai.n tumhaare maKHmalii badan kii KHushbuu se is tarah mo'attar huu.n ki mai.n tumhaarii Gair-maujuudgii me.n bhii tumhaare vujuud ko suu.ngh saktaa huu.n

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.