mere tiin bachche hai.n
mai.n gay nahii.n huu.n
magar shaadii nahii.n karnaa chaahtaa
mere tiin bachche hai.n
do la.Dke aur
ek la.Dkii
la.Dko.n ke naam hai.n
dil aur dimaaG
la.Dkii kaa naam hai
shaa'irii
dil maa'zuur hai
dimaaG bahut sharaaratii hai aur
shaa'irii udaas rahtii hai
shaayad vo mere saath KHush nahii.n
magar vo mujhe
bataatii bhii nahii.n
ho saktaa hai ye meraa vahm ho
ye bachche
kisii ke saath mubaasharat kar ke
mujhe nahii.n mile
haa.n magar
in kaa janm mere andar hu.aa
mai.n gay nahii.n huu.n
magar shaadii nahii.n karnaa chaahtaa
mere tiin bachche hai.n
do la.Dke aur
ek la.Dkii
la.Dko.n ke naam hai.n
dil aur dimaaG
la.Dkii kaa naam hai
shaa'irii
dil maa'zuur hai
dimaaG bahut sharaaratii hai aur
shaa'irii udaas rahtii hai
shaayad vo mere saath KHush nahii.n
magar vo mujhe
bataatii bhii nahii.n
ho saktaa hai ye meraa vahm ho
ye bachche
kisii ke saath mubaasharat kar ke
mujhe nahii.n mile
haa.n magar
in kaa janm mere andar hu.aa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.