Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bahadur-shah zafar

Shamsii Meenai

bahadur-shah zafar

Shamsii Meenai

MORE BYShamsii Meenai

    ishrat-e-dahr se vāqif bhī thā begāna bhī

    terī shāhī meñ thī ik shān-e-faqīrāna bhī

    zohd-o-pīrī meñ bhī ik jur.at-e-rindāna thī

    sāmne maut ke tadbīr-e-harīfāna thī

    ne ḳhud apne vatan ko kabhī rusvā na kiyā

    ne to qaum ke nāmūs saudā na kiyā

    bhī ehsās ko chāñdī se kuchal saktā thā

    bhī mausam tarah rang badal saktā thā

    bhī kyā baat thī ġhairat tijārat kartā

    aish ke vāste īmān ko ġhārat kartā

    bhī kyā baat thī fitrat ko ḳhafā kar detā

    sunnat-e-jāfar-o-sādiq bhī adā kar detā

    magar kab thā kisī rāj-dulāre tarah

    āḳhirī vaqt meñ TuuTā to sitāre tarah

    soz-e-pinhāñ ko tarab-ḳhez banāyā ne

    har tabāhī ko kaleje se lagāyā ne

    har ġham-e-dahr ko mehmān kiyā hai ne

    puurī ik nasl ko qurbān kiyā hai ne

    dushman-e-dīñ ne kiye tere asar ke TukḌe

    daar par khīñch diye tere jigar ke TukḌe

    saare aalam ne tire shauq aalam dekhā

    ya.anī qurbānī-e-paiham ko mujassam dekhā

    bārish-e-nūr to gulshan meñ rahī shaam se kyā

    zindagī raqs to kartī rahī anjām se kyā

    kitnī vus.at tire jazbe meñ tire ḳhuun meñ hai

    bazm dehlī meñ thī ḳhalvat tirī rangūn meñ hai

    tere andāz chale haiñ sahar-o-shām ke saath

    tere armān rahe gardish-e-ayyām ke saath

    terī betābī-e-dil paikar-e-gul tak pahuñchī

    terī āvāz thī jo bose ke dil tak pahuñchī

    ne dīvānoñ ko ik jazba-e-vahdat baḳhshā

    tere marqad ne unheñ shauq-e-shahādat baḳhshā

    ye haqīqat bhī khulī rah ga.ī duniyā taktī

    aadmī martā hai tahrīk nahīñ mar saktī

    tere anjām charchā to nahīñ kar saktā

    bad-nasībī maiñ shikva to nahīñ kar saktā

    saltanat rah na ga.ī us bharosā kyā thā

    jo milī auroñ se us chiiz ko samjhā kyā thā

    den hai tere lahū tirā fan qabze meñ

    aaj bhī saltanat-e-sher-o-suḳhan qabze meñ

    jang meñ haar ke bhī fan meñ 'zafar' kyā kahiye

    shab ke hāthoñ se ye tanzīm-e-sahar kyā kahiye

    tujh ko andhā to kiyā miT na sakā nūr-e-kalām

    ab bhī chauñkātā hai insāñ ko tirā soz-e-kalām

    rāgnī ḳhuun meñ apne Dubo kar rakh

    zindagī sher-o-suḳhan meñ bhī samo kar rakh

    'zauq' se baḌh ke tire sher meñ ra.anā.ī hai

    'dard' se baḌh ke tire dard meñ gahrā.ī hai

    hashr tak yaad rahegā ye hai taqdīr tirī

    sāhib-e-dil nigāhoñ meñ hai tasvīr tirī

    terī satvat pe na shāhī pe qalam uTThā hai

    ek insāñ tabāhī pe qalam uTThā hai

    ishrat-e-dahr se waqif bhi tha begana bhi

    teri shahi mein thi ek shan-e-faqirana bhi

    zohd-o-piri mein bhi ek jurat-e-rindana thi

    samne maut ke tadbir-e-harifana thi

    tu ne KHud apne watan ko kabhi ruswa na kiya

    tu ne to qaum ke namus ka sauda na kiya

    tu bhi ehsas ko chandi se kuchal sakta tha

    tu bhi mausam ki tarah rang badal sakta tha

    tu bhi kya baat thi ghairat ki tijarat karta

    aish ke waste iman ko ghaarat karta

    tu bhi kya baat thi fitrat ko KHafa kar deta

    sunnat-e-jafar-o-sadiq bhi ada kar deta

    tu magar kab tha kisi raj-dulare ki tarah

    aaKHiri waqt mein TuTa to sitare ki tarah

    soz-e-pinhan ko tarab-KHez banaya tu ne

    har tabahi ko kaleje se lagaya tu ne

    har gham-e-dahr ko mehman kiya hai tu ne

    puri ek nasl ko qurban kiya hai tu ne

    dushman-e-din ne kiye tere asar ke TukDe

    dar par khinch diye tere jigar ke TukDe

    sare aalam ne tere shauq ka aalam dekha

    yani qurbani-e-paiham ko mujassam dekha

    barish-e-nur to gulshan mein rahi sham se kya

    zindagi raqs to karti rahi anjam se kya

    kitni wusat tere jazbe mein tere KHun mein hai

    bazm dehli mein thi KHalwat teri rangun mein hai

    tere andaz chale hain sahar-o-sham ke sath

    tere arman rahe gardish-e-ayyam ke sath

    teri betabi-e-dil paikar-e-gul tak pahunchi

    teri aawaz thi jo bose ke dil tak pahunchi

    tu ne diwanon ko ek jazba-e-wahdat baKHsha

    tere marqad ne unhen shauq-e-shahadat baKHsha

    ye haqiqat bhi khuli rah gai duniya takti

    aadmi marta hai tahrik nahin mar sakti

    tere anjam ka charcha to nahin kar sakta

    bad-nasibi ka main shikwa to nahin kar sakta

    saltanat rah na gai us ka bharosa kya tha

    jo mili auron se us chiz ko samjha kya tha

    den hai tere lahu ki tera fan qabze mein

    aaj bhi saltanat-e-sher-o-suKHan qabze mein

    jang mein haar ke bhi fan mein 'zafar' kya kahiye

    shab ke hathon se ye tanzim-e-sahar kya kahiye

    tujh ko andha to kiya miT na saka nur-e-kalam

    ab bhi chaunkata hai insan ko tera soz-e-kalam

    ragni KHun mein apne hi Dubo kar rakh di

    zindagi sher-o-suKHan mein bhi samo kar rakh di

    'zauq' se baDh ke tere sher mein ranai hai

    'dard' se baDh ke tere dard mein gahrai hai

    hashr tak yaad rahega ye hai taqdir teri

    sahib-e-dil ki nigahon mein hai taswir teri

    teri satwat pe na shahi pe qalam uTTha hai

    ek insan ki tabahi pe qalam uTTha hai

    Source:

    Ruh-e-Sukhan (hisa dom) (Pg. 206 (e)208)

    • Author: Swami Dayal Biswani
      • Edition: 1989
      • Publisher: Matba Nami Press, Lucknow
      • Year of Publication: 1971

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now