Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bargad ka buDha peD

Pasha Rahman

bargad ka buDha peD

Pasha Rahman

MORE BYPasha Rahman

    bargad ye būḌhā peḌ

    jis ke jism khaal tak ab to suukh ga.ī hai

    is ke saa.e meñ

    jaane kitne rūmān pale haiñ

    jaane kitne paimān bañdhe haiñ

    is bargad ke peḌ ko sab

    hamrāz banā kar

    jīvan saath nibhāne

    va.ada karte the

    is bargad ke saa.e meñ

    kitnī chhail-chhabelī sundar naarī

    miit se milne aashā meñ

    pahroñ baiThī rahtī thiiñ

    kitne albele shoḳh kanhaiyā

    is bargad ke saa.e meñ

    apnī nai se

    mad-bharī āvāz jaadū gholte the

    birhā-rāg ko chheḌ ke aksar

    fart-e-ġham se

    ashk ke motī rolte the

    bargad ka ye buDha peD

    jis ke jism ki khaal tak ab to sukh gai hai

    is ke sae mein

    jaane kitne ruman pale hain

    jaane kitne paiman bandhe hain

    is bargad ke peD ko sab

    hamraaz bana kar

    jiwan sath nibhane ka

    wada karte the

    is bargad ke sae mein

    kitni chhail-chhabeli sundar nari

    mit se milne ki aasha mein

    pahron baiThi rahti thin

    kitne albele shoKH kanhaiya

    is bargad ke sae mein

    apni nai se

    mad-bhari aawaz ka jadu gholte the

    birha-rag ko chheD ke aksar

    fart-e-gham se

    ashk ke moti rolte the

    Source:

    Nishat-e-Karb (Pg. 47)

    • Author: Pasha Rahman
      • Publisher: Urdu academy Sindh, Karachi
      • Year of Publication: 1978
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now