f b friend
chehra us kā saada sā hai gesū haiñ pechāk
palkeñ tīroñ jaisī haiñ aur lahja hai bebāk
har ik dost ke baare meñ raa.e us kī be-lāg
jis ko sun kar kuchh logoñ ko lag jaatī hai aag
f b par jo dost hai us kī nazmoñ meñ hai kaun
rangoñ aur ḳhushbūoñ jaisī ġhazloñ meñ hai kaun
kaun hai bhaa.ī ban kar us ke qurb kā ḳhvāhish-mand
kis ne beTī kah kar dekhe pairāhan ke band
kis kī āñkhoñ meñ raushan hai niyyat kā iḳhlās
kis ke jazboñ meñ hai taaza phūloñ kī bū-bās
jhāñke vo lafzoñ ke andar mā'nī aḳhz kare
she'r ke ā.īne meñ utre shā'ir tak pahuñche
chehre se hai bholī-bhālī andar se chālāk
kaun use dekhe hai kaise us ko hai idrāk
chehra us ka sada sa hai gesu hain pechaak
palken tiron jaisi hain aur lahja hai bebak
har ek dost ke bare mein rae us ki be-lag
jis ko sun kar kuchh logon ko lag jati hai aag
f b par jo dost hai us ki nazmon mein hai kaun
rangon aur KHushbuon jaisi ghazlon mein hai kaun
kaun hai bhai ban kar us ke qurb ka KHwahish-mand
kis ne beTi kah kar dekhe pairahan ke band
kis ki aankhon mein raushan hai niyyat ka iKHlas
kis ke jazbon mein hai taza phulon ki bu-bas
jhanke wo lafzon ke andar ma'ni aKHz kare
she'r ke aaine mein utre sha'ir tak pahunche
chehre se hai bholi-bhaali andar se chaalak
kaun use dekhe hai kaise us ko hai idrak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.