ghunchagi ka safar
vo naujavān umangoñ kī garm-bāzārī
muhīt-e-zāt vo ik be-karāñ ḳhud-āzādī
vo tamtamāte hue din vo sāñvlī rāteñ
vo kam-sinī kā tamavvuj vo dil kī sarshārī
vo sin ki jis ne bas ik lazzat-e-nazar ke liye
na jaane kitne darīchoñ se kī vafādārī
vo sin ki tund ho is darja quvvat-e-ehsās
ki har ḳhushī pe ho andoh mustaqil taarī
kabhī badūn-e-sabab sarḳhushī kī kaifiyyat
kabhī ye haal ki be-vaj.h girya-o-zārī
kabhī 'itāb-e-buzurgāñ ke ḳhauf se paidā
galī ke moḌ pe be-vaj.h tez-raftārī
kisī kā 'aks-e-tilā.ī gale lagā.e hue
udaas raat kī tanhā.iyoñ meñ bedārī
kabhī kisī se achānak jo sāmnā ho jaa.e
to sansanā.e rag-o-pai meñ kaif-e-sarshārī
agar laboñ se tabassum kī ik kiran phūTe
to chāñdnī meñ nahā jaa.e raat añdhiyārī
vafūr-e-sharm se palkeñ agar jhapak jaa.eñ
dil-o-jigar meñ tarāzū hoñ barchhiyāñ saarī
kabhī gar us ruḳh-e-tābinda par ho gard-e-malāl
to apnī jaañ se nahīñ do jahāñ se bezārī
qadam qadam pe shikast-e-ḳhayāl kā mātam
galī galī meñ tamannāoñ kī 'azā-dārī
kabhī hujūm-e-tamannā meñ 'arz-e-hāl ke vaqt
kisī ġhazāl-e-hirāsāñ kī tez raftārī
kisī sitāra-e-tanhā kā irti'āsh-e-ḳhafī
kisī alaav meñ sahmī huī sī chingārī
havā ke ruḳh pe kisī bādbān kī larzish
kisī chakor kī rātoñ meñ girya-o-zārī
lab-e-savāl pe ThiTkā huā koī maqsad
dayār-e-ġhair meñ ik ajnabī kī dushvārī
ye ġhunchagī kā safar thā shaguftagī kī taraf
ki jaise ḳhvāb kī karvaT meñ 'azm-e-bedārī
wo naujawan umangon ki garm-bazari
muhit-e-zat wo ek be-karan KHud-azadi
wo tamtamate hue din wo sanwli raaten
wo kam-sini ka tamawwuj wo dil ki sarshaari
wo sin ki jis ne bas ek lazzat-e-nazar ke liye
na jaane kitne darichon se ki wafadari
wo sin ki tund ho is darja quwwat-e-ehsas
ki har KHushi pe ho andoh mustaqil tari
kabhi badun-e-sabab sarKHushi ki kaifiyyat
kabhi ye haal ki be-wajh girya-o-zari
kabhi 'itab-e-buzurgan ke KHauf se paida
gali ke moD pe be-wajh tez-raftari
kisi ka 'aks-e-tilai gale lagae hue
udas raat ki tanhaiyon mein bedari
kabhi kisi se achanak jo samna ho jae
to sansanae rag-o-pai mein kaif-e-sarshaari
agar labon se tabassum ki ek kiran phuTe
to chandni mein naha jae raat andhiyari
wafur-e-sharm se palken agar jhapak jaen
dil-o-jigar mein taraazu hon barchhiyan sari
kabhi gar us ruKH-e-tabinda par ho gard-e-malal
to apni jaan se nahin do jahan se bezari
qadam qadam pe shikast-e-KHayal ka matam
gali gali mein tamannaon ki 'aza-dari
kabhi hujum-e-tamanna mein 'arz-e-haal ke waqt
kisi ghazal-e-hirasan ki tez raftari
kisi sitara-e-tanha ka irti'ash-e-KHafi
kisi alaw mein sahmi hui si chingari
hawa ke ruKH pe kisi baadban ki larzish
kisi chakor ki raaton mein girya-o-zari
lab-e-sawal pe ThiTka hua koi maqsad
dayar-e-ghair mein ek ajnabi ki dushwari
ye ghunchagi ka safar tha shaguftagi ki taraf
ki jaise KHwab ki karwaT mein 'azm-e-bedari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.