main abhi nakaam sahi
merā fan dahr ke bāzār meñ be-dām sahī
naam gumnām sahī maiñ abhī nākām sahī
merī vīrān umangoñ pe bahār aane tak
mujh ko mā'lūm hai marte hue jiinā hai mujhe
merī taqdīr ko gardish se nikal jaane tak
zahr hālāt kā har haal meñ piinā hai mujhe
mujh ko hālāt kī āñdhī se Darāne vaalo
shauq vo sail-e-ravāñ hai jo nahīñ ruk saktā
sar ḳhirad kā ye nahīñ ahl-e-junūñ kā sar hai
sar ye hālāt ke qadmoñ pe nahīñ jhuk saktā
jo irādoñ ke charāġhoñ ko bujhā Dālegī
vaqt kī tez havā tez hai itnī bhī nahīñ
rahrav-e-manzil-e-maqsad ko jo gumrāh kare
fitrat-e-vaqt shar-angez hai itnī bhī nahīñ
duur se hī sahī manzil ye sadā detī hai
dil meñ manzil kī tamanna ho to chalnā hogā
raah meñ dhuup baras jaa.e ki sho'le dahkeñ
rahrav-e-manzil-e-maqsūd ko chalnā hogā
tum añdheroñ se mujhe ḳhauf dilāte ho magar
in añdheroñ se murādoñ kī sahar niklegī
in añdheroñ hī meñ manzil hai kahīñ poshīda
jald yā der se niklegī magar niklegī
merā fan dahr ke bāzār meñ be-dām sahī
naam gumnām sahī maiñ abhī nākām hī
mera fan dahr ke bazar mein be-dam sahi
nam gumnam sahi main abhi nakaam sahi
meri viran umangon pe bahaar aane tak
mujh ko ma'lum hai marte hue jina hai mujhe
meri taqdir ko gardish se nikal jaane tak
zahr haalat ka har haal mein pina hai mujhe
mujh ko haalat ki aandhi se Darane walo
shauq wo sail-e-rawan hai jo nahin ruk sakta
sar KHirad ka ye nahin ahl-e-junun ka sar hai
sar ye haalat ke qadmon pe nahin jhuk sakta
jo iradon ke charaghon ko bujha Dalegi
waqt ki tez hawa tez hai itni bhi nahin
rahraw-e-manzil-e-maqsad ko jo gumrah kare
fitrat-e-waqt shar-angez hai itni bhi nahin
dur se hi sahi manzil ye sada deti hai
dil mein manzil ki tamanna ho to chalna hoga
rah mein dhup baras jae ki sho'le dahken
rahraw-e-manzil-e-maqsud ko chalna hoga
tum andheron se mujhe KHauf dilate ho magar
in andheron se muradon ki sahar niklegi
in andheron hi mein manzil hai kahin poshida
jald ya der se niklegi magar niklegi
mera fan dahr ke bazar mein be-dam sahi
nam gumnam sahi main abhi nakaam hi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.