aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mazdur be-chaara

Hindi gorakhpurii

mazdur be-chaara

Hindi gorakhpurii

MORE BYHindi gorakhpurii

    hotā nahīñ dam-bhar bhī sukūñ us ko gavārā

    jis ḳhātir-e-betāb fitrat hai paarā

    mazlūm fariyād se jal jā.egā aalam

    sad-shoa.la-ba-damāñ hai un aahoñ sharārā

    ġham-dīdoñ ko de aish-o-tarab aur atā kar

    tāj-e-sar-e-sultānī-e-taimūr gadā-rā

    garmā de rageñ us imārat ke lahū se

    jis hastī-e-be-māya ġhurbat hai sahārā

    taḳhrīb ke bandoñ ko bas ab ho nahīñ saktī

    insān insān se tafrīq gavārā

    pāband sahī dahr meñ ā.īn-e-jahāñ ke

    pīrān-e-kalīsā hai kyā us meñ ijārā

    tahzīb-o-tamaddun haiñ imārat ke sahāre

    mazdūr ġhurbat nahīñ koī sahārā

    hota nahin dam-bhar bhi sukun us ko gawara

    jis KHatir-e-betab ki fitrat hi hai para

    mazlum ki fariyaad se jal jaega aalam

    sad-shoala-ba-daman hai un aahon ka sharara

    gham-didon ko de aish-o-tarab aur ata kar

    taj-e-sar-e-sultani-e-taimur gada-ra

    garma de ragen us ki imarat ke lahu se

    jis hasti-e-be-maya ka ghurbat hai sahaara

    taKHrib ke bandon ko bas ab ho nahin sakti

    insan ki insan se tafriq gawara

    paband sahi dahr mein aain-e-jahan ke

    piran-e-kalisa ka hai kya us mein ijara

    tahzib-o-tamaddun hain imarat ke sahaare

    mazdur ki ghurbat ka nahin koi sahaara

    Source:

    Qafas Se Aashiyan Tak (Pg. 39)

    • Author: Hindi gorakhpurii
      • Edition: 1972
      • Publisher: Hindi Academy, Faizabad
      • Year of Publication: 1972

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now