Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

musafir-e-shab

Raabia Pinhan

musafir-e-shab

Raabia Pinhan

MORE BYRaabia Pinhan

    sukūt-e-shab hai jalva-faroshī

    hai maujūdāt par chhā.ī ḳhamoshī

    fazā-e-shām ko niiñd aa rahī hai

    manāzir par siyāhī chhā rahī hai

    hai badlā rañg din ke shor-o-shar

    huā tārīkiyoñ daur-daurā

    rukā hañgāma-hā-e-din mahshar

    baḌhā shab sakūñ-bar-dosh manzar

    hai āḳhir roz-e-raushan kahānī

    huī tārīk burd-e-āsmānī

    gayā rāhat-kade meñ mahr-e-tābāñ

    hue anvār ātish-bār-e-pinhāñ

    hai tārīkī payām-e-ḳhvāb-noshīñ

    ḳhamoshī hai naved-e-rañg-e-taskīñ

    faza-e-ġharb hai paiġhām-e-rāhat

    ufaq ḳhāmushī ilhām-e-rāhat

    hai rañgīnī fazā kaif ishrat

    shafaq surḳhiyāñ sāmān-e-farhat

    havāoñ meñ bhare haiñ naġhma-e-shab

    hai rāhat-zā rabāb-e-zaḳhm-e-shab

    huā raushan nigār-e-shab jalva

    haiñ tanvīreñ falak par kār-farmā

    sitāroñ tabassum-bāriyoñ meñ

    kavākib munavvar dhāriyoñ meñ

    sutūr-e-kahkashāñ laġhzishoñ meñ

    surayyā majalla tābishoñ meñ

    fazā-e-sīm ārā-e-falak meñ

    ufuq raushan-o-zarrīñ jhalak meñ

    ziyā-afroz hai māh-e-daraḳhshāñ

    laboñ tābisheñ haiñ ḳhanda-afshāñ

    faza-e-āsmānī rah-guzar hai

    musāfir raat garm-e-safar hai

    siyāhī shab hai hamrāz-o-hamdam

    sukūt-e-shām hai dam-sāz o mahram

    hai tanhā.ī se rasm-e-āshnā.ī

    ḳhayāl-e-mā-sivā se be-niyāzī

    safar kaifiyat madd-e-nazar hai

    ki taḳh.īl-e-safar lutf-e-safar hai

    ḳhabar kuchh nahīñ hadd-e-safar

    na kuchh parvāh tūl-e-rah-guzar

    ḳhamosh o mutma.in hai jāda-paimā

    jabīñ par istaqāmat jalva-farmā

    sukūt-e-shab meñ jo yuuñ sargirāñ hai

    mah-e-kāmil tirī manzil kahāñ hai

    tirī rahbar ufaq ḳhāmushī hai

    aniis o ham-safar ik chāñdnī hai

    kamāl-e-zīst terī justujū hai

    ye tarz-e-sa.ī hadd-e-ābrū hai

    sabaq-āmoz terī dāstāñ hai

    tujhe hāsil kamāl-e-kāmrāñ hai

    tirī sa.i-e-amal lā-intihā hai

    abad tak is safar silsila hai

    sukut-e-shab ki hai jalwa-faroshi

    hai maujudat par chhai KHamoshi

    faza-e-sham ko nind aa rahi hai

    manazir par siyahi chha rahi hai

    hai badla rang din ke shor-o-shar ka

    hua tarikiyon ka daur-daura

    ruka hangama-ha-e-din ka mahshar

    baDha shab ka sakun-bar-dosh manzar

    hai aaKHir roz-e-raushan ki kahani

    hui tarik burd-e-asmani

    gaya rahat-kade mein mahr-e-taban

    hue anwar aatish-bar-e-pinhan

    hai tariki payam-e-KHwab-noshin

    KHamoshi hai nawed-e-rang-e-taskin

    faza-e-gharb hai paigham-e-rahat

    ufaq ki KHamushi ilham-e-rahat

    hai rangini faza ki kaif ishrat

    shafaq ki surKHiyan saman-e-farhat

    hawaon mein bhare hain naghma-e-shab

    hai rahat-za rabab-e-zaKHm-e-shab

    hua raushan nigar-e-shab ka jalwa

    hain tanwiren falak par kar-farma

    sitaron ki tabassum-bariyon mein

    kawakib ki munawwar dhaariyon mein

    sutur-e-kahkashan ki laghzishon mein

    surayya ki majalla tabishon mein

    faza-e-sim aara-e-falak mein

    ufuq ki raushan-o-zarrin jhalak mein

    ziya-afroz hai mah-e-daraKHshan

    labon ki tabishen hain KHanda-afshan

    faza-e-asmani rah-guzar hai

    musafir raat ka garm-e-safar hai

    siyahi shab ki hai hamraaz-o-hamdam

    sukut-e-sham hai dam-saz o mahram

    hai tanhai se rasm-e-ashnai

    KHayal-e-ma-siwa se be-niyazi

    safar ki kaifiyat madd-e-nazar hai

    ki taKHil-e-safar lutf-e-safar hai

    KHabar hi kuchh nahin hadd-e-safar ki

    na kuchh parwah tul-e-rah-guzar ki

    KHamosh o mutmain hai jada-paima

    jabin par istaqamat jalwa-farma

    sukut-e-shab mein jo yun sargiran hai

    mah-e-kaamil teri manzil kahan hai

    teri rahbar ufaq ki KHamushi hai

    anis o ham-safar ek chandni hai

    kamal-e-zist teri justuju hai

    ye tarz-e-sai hadd-e-abru hai

    sabaq-amoz teri dastan hai

    tujhe hasil kamal-e-kaamran hai

    teri sai-e-amal la-intiha hai

    abad tak is safar ka silsila hai

    Source:

    meri behtareen nazam (Pg. 58)

    related content

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now