aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Abdul Majeed Khan Majeed

1948 | Bettiah, India

One of the poets to emerge from Bihar in the 80s

One of the poets to emerge from Bihar in the 80s

Abdul Majeed Khan Majeed

Ghazal 39

Sher-o-Shayari 10

ab charāġhoñ meñ zindagī kam hai

dil jalāo ki raushnī kam hai

ab charaghon mein zindagi kam hai

dil jalao ki raushni kam hai

bevafā kahiye bā-vafā kahiye

dil meñ aa.e jo barmalā kahiye

bewafa kahiye ba-wafa kahiye

dil mein aae jo barmala kahiye

nahīñ miltī unheñ manzil jinheñ ḳhauf-e-havādis hai

jo maujoñ se nahīñ Darte nadī ko paar karte haiñ

nahin milti unhen manzil jinhen KHauf-e-hawadis hai

jo maujon se nahin Darte nadi ko par karte hain

zindagī chhoTī hai sāmān bahut

aur dil ke bhī haiñ armān bahut

zindagi chhoTi hai saman bahut

aur dil ke bhi hain arman bahut

jis ke pairoñ tale zamīn nahīñ

us saarā jahān hotā hai

jis ke pairon tale zamin nahin

us ka sara jahan hota hai

BOOKS 1

 

More Poets From "Bettiah"

 

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now