Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Afzal Ali Afzal's Photo'

Afzal Ali Afzal

1998 | Jaipur, India

Afzal Ali Afzal

Ghazal 9

Sher-o-Shayari 10

rātoñ niiñd ek parī-zād le uḌī

din sukūn fikr-e-ma.īshat meñ kho gayā

raaton ki nind ek pari-zad le uDi

din ka sukun fikr-e-maishat mein kho gaya

  • Share this

ḳhāmosh āñkheñ udaas chehra ye bikhrī zulfeñ bujhā bujhā man

ki ziist jaise huī hai beva utaar Daale tamām gahne

KHamosh aankhen udas chehra ye bikhri zulfen bujha bujha man

ki zist jaise hui hai bewa utar Dale tamam gahne

  • Share this

samajh aatā hai ham ko dukh baḌoñ

ham apne ghar ke bachchoñ meñ baḌe haiñ

samajh aata hai hum ko dukh baDon ka

hum apne ghar ke bachchon mein baDe hain

  • Share this

aisī haiñ qurbateñ ki mujhī meñ basā hai vo

aise haiñ fāsle ki nahīñ rābta nasīb

aisi hain qurbaten ki mujhi mein basa hai wo

aise hain fasle ki nahin rabta nasib

  • Share this

kuchh to kareñ ki dil ye kahīñ aur lage

kuchh der ke liye sahī āñkhoñ ko chain ho

kuchh to karen ki dil ye kahin aur ja lage

kuchh der ke liye sahi aankhon ko chain ho

  • Share this

More Poets From "Jaipur"

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now