Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Ahmad Javaid's Photo'

Ahmad Javaid

1948 | Karachi, Pakistan

One of the most prominent contemporary Pakistani poets

One of the most prominent contemporary Pakistani poets

Sher of Ahmad Javaid

1.9K
Favorite

SORT BY

dil-e-betāb ke hamrāh safar meñ rahnā

ham ne dekhā nahīñ chain se ghar meñ rahnā

dil-e-betab ke hamrah safar mein rahna

hum ne dekha hi nahin chain se ghar mein rahna

duniyā mire paḌos meñ ābād hai magar

merī duā-salām nahīñ us zalīl se

duniya mere paDos mein aabaad hai magar

meri dua-salam nahin us zalil se

ye ek lamhe duurī bahut hai mere liye

tamām umr tirā intizār karne ko

ye ek lamhe ki duri bahut hai mere liye

tamam umr tera intizar karne ko

ye kyā chiiz tāmīr karne chale ho

binā-e-mohabbat ko vīrān kar ke

ye kya chiz tamir karne chale ho

bina-e-mohabbat ko viran kar ke

ḳhabar nahīñ hai mire bādshāh ko shāyad

hazār martaba āzād ye ġhulām huā

KHabar nahin hai mere baadshah ko shayad

hazar martaba aazad ye ghulam hua

ajab safar thā ajab-tar musāfirat merī

zamīñ shurū huī aur maiñ tamām huā

ajab safar tha ajab-tar musafirat meri

zamin shuru hui aur main tamam hua

sukh ḳhātir dukh mat bech

jaal ke pīchhe jaal na Daal

sukh ki KHatir dukh mat bech

jal ke pichhe jal na Dal

hamesha dil havas-e-intiqām par rakkhā

ḳhud apnā naam bhī dushman ke naam par rakkhā

hamesha dil hawas-e-intiqam par rakkha

KHud apna nam bhi dushman ke nam par rakkha

ghar aur bayābāñ meñ koī farq nahīñ hai

lāzim hai magar ishq ke ādāb meñ rahnā

ghar aur bayaban mein koi farq nahin hai

lazim hai magar ishq ke aadab mein rahna

ek aañsū se kamī aa jā.egī

ġhāliban dariyāoñ ke iqbāl meñ

ek aansu se kami aa jaegi

ghaaliban dariyaon ke iqbaal mein

dil se bāhar aaj tak ham ne qadam rakkhā nahīñ

dekhne meñ zāhirā lagte haiñ sailānī se ham

dil se bahar aaj tak hum ne qadam rakkha nahin

dekhne mein zahira lagte hain sailani se hum

us āñkhoñ ke vasf kyā likkhūñ

jaise ḳhvāboñ be-karāñ Thahrāo

us ki aankhon ke wasf kya likkhun

jaise KHwabon ka be-karan Thahrao

mashġhūl haiñ safā.ī-o-tausi-e-dil meñ ham

tañgī na is makān meñ ho mehmān ko

mashghul hain safai-o-tausi-e-dil mein hum

tangi na is makan mein ho mehman ko

tirī duniyā meñ ai dil ham bhī ik goshe meñ rahte haiñ

hameñ bhī kuchh ummīdeñ haiñ tirī ālam-panāhī se

teri duniya mein ai dil hum bhi ek goshe mein rahte hain

hamein bhi kuchh ummiden hain teri aalam-panahi se

yahī dil jo ik buuñd hai bahr-e-ġham

Dubo degā sab shahr tūfān kar ke

yahi dil jo ek bund hai bahr-e-gham ki

Dubo dega sab shahr tufan kar ke

gahvāra-e-safar meñ khulī hai hamārī aañkh

ta.amīr apne ghar huī sañg-e-mīl se

gahwara-e-safar mein khuli hai hamari aankh

tamir apne ghar ki hui sang-e-mil se

āmāda rakheñ chashm-o-dil sāmān-e-hairānī kareñ

kyā jāniye kis vaqt vo nazāra farmānī kareñ

aamada rakhen chashm-o-dil saman-e-hairani karen

kya jaaniye kis waqt wo nazara farmani karen

tulū-e-sā.at-e-shab-ḳhūñ hai aur merā dil

kisī sitāra-e-bad nigāh meñ aayā

tulu-e-saat-e-shab-KHun hai aur mera dil

kisi sitara-e-bad ki nigah mein aaya

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now