Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Ali Raza Aseer's Photo'

Ali Raza Aseer

1993 | Aligarh, India

Ali Raza Aseer

Ghazal 9

Nazm 1

 

Sher-o-Shayari 5

Darāvnā hai bahut hai baḌā ghanā jangal

nikal na pāoge is se hai ik anā jangal

Darawna hai bahut hai baDa ghana jangal

nikal na paoge is se hai ek ana jangal

  • Share this

ik manzil-e-safar bhī to ab tak nahīñ milī

maiñ shīn-e-shā.erī pe nahīñ huuñ alif pe huuñ

ek manzil-e-safar bhi to ab tak nahin mili

main shin-e-shaeri pe nahin hun alif pe hun

  • Share this

parinde dekh kar us shaḳhs ko par phaḌ.phaḌāte haiñ

jo qaid-e-dil hai zāhir meñ magar āzād lagtā hai

parinde dekh kar us shaKHs ko par phaDphaDate hain

jo qaid-e-dil hai zahir mein magar aazad lagta hai

  • Share this

sāñsoñ ko bū-e-zīst se kafnā diyā gayā

ḳhāk-e-badan meñ ruuh ko dafnā diyā gayā

sanson ko bu-e-zist se kafna diya gaya

KHak-e-badan mein ruh ko dafna diya gaya

  • Share this

Tahal rahā hai ik aañsū laboñ ke paas mirā

bigāḌ kuchh nahīñ saktī hai ab ye pyaas mirā

Tahal raha hai ek aansu labon ke pas mera

bigaD kuchh nahin sakti hai ab ye pyas mera

  • Share this

More Poets From "Aligarh"

Recitation

Jashn-e-Rekhta 10th Edition | 5-6-7 December Get Tickets Here

Speak Now