Sher of Anjali Sahar
ham se kaTtā nahīñ ġhamoñ kā pahāḌ
log kahte haiñ zindagī kam hai
hum se kaTta nahin ghamon ka pahaD
log kahte hain zindagi kam hai
sharm se Duub marne kā hai maqām
tere hote ḳhushī udaas haiñ ham
sharm se Dub marne ka hai maqam
tere hote KHushi udas hain hum
ab to ye bhī samajh se bāhar hai
kis kā dukh hai jo vāqa'ī dukh hai
ab to ye bhi samajh se bahar hai
kis ka dukh hai jo waqa'i dukh hai
hai in diyoñ kā muqaddar bhī beTiyoñ jaisā
kahāñ banā.e ga.e aur hue kahāñ raushan
hai in diyon ka muqaddar bhi beTiyon jaisa
kahan banae gae aur hue kahan raushan
ham ne is Dar se haath kaaT liye
saañp hote gar āstīñ hotī
hum ne is Dar se hath kaT liye
sanp hote gar aastin hoti
koī ummīd jab nahīñ hotī
hotī hai ek ḳhud-kushī ummīd
koi ummid jab nahin hoti
hoti hai ek KHud-kushi ummid
dā.imī dukh nahīñ hotā koī
zaḳhm kaise bhī ho bhar jaate haiñ
daimi dukh nahin hota koi
zaKHm kaise bhi ho bhar jate hain