Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Anjum Khayali's Photo'

Anjum Khayali

1936 - 1997 | England

Sher of Anjum Khayali

1.6K
Favorite

SORT BY

koī tohmat ho mire naam chalī aatī hai

jaise bāzār meñ har ghar se galī aatī hai

koi tohmat ho mere nam chali aati hai

jaise bazar mein har ghar se gali aati hai

kuchh tasāvīr bol paḌtī haiñ

sab sab be-zabāñ nahīñ hotīñ

kuchh tasawir bol paDti hain

sab ki sab be-zaban nahin hotin

mire mazār pe aa kar diye jalā.egā

vo mere ba.ad mirī zindagī meñ aa.egā

mere mazar pe aa kar diye jalaega

wo mere baad meri zindagi mein aaega

añdherī raat hai saaya to ho nahīñ saktā

ye kaun hai jo mire saath saath chaltā hai

andheri raat hai saya to ho nahin sakta

ye kaun hai jo mere sath sath chalta hai

ba.az va.ade kiye nahīñ jaate

phir bhī un ko nibhāyā jaatā hai

baz wade kiye nahin jate

phir bhi un ko nibhaya jata hai

kahāñ milā maiñ tujhe ye savāl ba.ad hai

pahle yaad to kar kis jagah gañvāyā mujhe

kahan mila main tujhe ye sawal baad ka hai

tu pahle yaad to kar kis jagah ganwaya mujhe

shab ko ik baar khul ke rotā huuñ

phir baḌe sukh niiñd sotā huuñ

shab ko ek bar khul ke rota hun

phir baDe sukh ki nind sota hun

azaañ pe qaid nahīñ bandish-e-namāz nahīñ

hamāre paas to hijrat bhī javāz nahīñ

azan pe qaid nahin bandish-e-namaz nahin

hamare pas to hijrat ka bhi jawaz nahin

jaañ qarz hai so utārte haiñ

ham umr kahāñ guzārte haiñ

jaan qarz hai so utarte hain

hum umr kahan guzarte hain

mujhe kuchh der ruknā chāhiye thā

vo shāyad dekh letā palaT kar

mujhe kuchh der rukna chahiye tha

wo shayad dekh hi leta palaT kar

is naam koī bhī nahīñ hai

jis naam se ham pukārte haiñ

is nam ka koi bhi nahin hai

jis nam se hum pukarte hain

mujhe hañsī bhī mire haal par nahīñ aatī

vo ḳhud bhī ro.egā auroñ ko bhī rulā.egā

mujhe hansi bhi mere haal par nahin aati

wo KHud bhi roega auron ko bhi rulaega

aañkh jhapkīñ to itne arse meñ

jaane kitne baras guzar jaa.eñ

aankh jhapkin to itne arse mein

jaane kitne baras guzar jaen

umr bhar jañgal meñ rah saktā huuñ maiñ

is meñ ghar jaisī fazā maujūd hai

umr bhar jangal mein rah sakta hun main

is mein ghar jaisi faza maujud hai

jab tak maiñ pahuñchtā huuñ kaḌī dhuup meñ chal kar

dīvār saaya pas-e-dīvār na ho jaa.e

jab tak main pahunchta hun kaDi dhup mein chal kar

diwar ka saya pas-e-diwar na ho jae

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now