Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Armaan Jodhpuri's Photo'

Armaan Jodhpuri

1994 | Rajasthan, India

Armaan Jodhpuri

Ghazal 19

Sher-o-Shayari 11

āḳhir tire savāl maiñ kyā javāb duuñ

ai mere ham-ḳhayāl zarā sochne to de

aaKHir tere sawal ka main kya jawab dun

ai mere ham-KHayal zara sochne to de

  • Share this

kyoñ zulm kartī hai duniyā ham ishq vāloñ par

ham ishq karte haiñ koī ḳhatā nahīñ karte

kyon zulm karti hai duniya hum ishq walon par

hum ishq karte hain koi KHata nahin karte

  • Share this

pahle pahle ḳhuub mohabbat ham ne

phir ham donoñ ne ye rasta chhoḌ diyā

pahle pahle KHub mohabbat ki hum ne

phir hum donon ne ye rasta chhoD diya

  • Share this

saarī duniyā tirī hoñToñ hañsī meñ gum hai

kaun dekhegā mirī aañkh ke paanī taraf

sari duniya teri honTon ki hansi mein gum hai

kaun dekhega meri aankh ke pani ki taraf

  • Share this

zindagī zulf nahīñ thī jo sañvārī jaatī

zindagī aur ulajhtī ga.ī suljhāne meñ

zindagi zulf nahin thi jo sanwari jati

zindagi aur ulajhti gai suljhane mein

  • Share this

More Poets From "Rajasthan"

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now