Sher of Asad Bijnori Alig
ham pe ye raaz khulā bhī to bahut der ke baa'd
asl kirdār kahānī meñ kisī aur kā hai
hum pe ye raaz khula bhi to bahut der ke ba'd
asl kirdar kahani mein kisi aur ka hai
paḌe haiñ phīke ye chāñd taare bhī is ke aage
kahāñ se laa.ī ho tum ye husn-o-jamāl laḌkī
paDe hain phike ye chand tare bhi is ke aage
kahan se lai ho tum ye husn-o-jamal laDki
us kā ham se baat karnā yaad karnā pyaar karnā
ik ġhalat-fahmī thī jo ab duur hotī jā rahī hai
us ka hum se baat karna yaad karna pyar karna
ek ghalat-fahmi thi jo ab dur hoti ja rahi hai
-
Tag : Yaad
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
bulandiyoñ par zarā takabbur se duur rahnā
vagarna ye hī banegā vaj.h-e-zavāl laḌkī
bulandiyon par zara takabbur se dur rahna
wagarna ye hi banega wajh-e-zawal laDki
dāstāñ apnī sunā kar so ga.e ham chain se
khiḌkiyāñ rotī rahīñ jaltā rahā shab bhar charāġh
dastan apni suna kar so gae hum chain se
khiDkiyan roti rahin jalta raha shab bhar charagh
milā hai husn to is par ġhurūr itnā nahīñ achchhā
milā detā hai miTTī meñ ḳhudā maġhrūr chehroñ ko
mila hai husn to is par ghurur itna nahin achchha
mila deta hai miTTi mein KHuda maghrur chehron ko
rahe haiñ chāñd-rātoñ meñ bhī tanhā
hameñ ḳhuddāriyāñ mahñgī paḌī haiñ
rahe hain chand-raaton mein bhi tanha
hamein KHuddariyan mahngi paDi hain
jis bulandī se tū bhī na aa.e nazar
aisī shohrat kī ai maañ du'ā.eñ na de
jis bulandi se tu bhi na aae nazar
aisi shohrat ki ai man du'aen na de
sar qalam karnā thā siine se lagāne vaale
ek haare hue lashkar ke sipāhī the ham
sar qalam karna tha sine se lagane wale
ek haare hue lashkar ke sipahi the hum
mirī yādoñ meñ taḌpoge ye vā'da maiñ nahīñ kartā
magar mahsūs to hogā tumheñ merā na honā bhī
meri yaadon mein taDpoge ye wa'da main nahin karta
magar mahsus to hoga tumhein mera na hona bhi
rahe jo saath to rakkhā sajā ke palkoñ pe
hue judā to kisī se na pūchhā haal us kā
rahe jo sath to rakkha saja ke palkon pe
hue juda to kisi se na puchha haal us ka