Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Chandu Lal Bahadur Shadan's Photo'

Chandu Lal Bahadur Shadan

1763 - 1845 | Hyderabad, India

Sher of Chandu Lal Bahadur Shadan

aatā nahīñ jo sāmne maare hijāb ke

ham dil se haiñ nisār usī āftāb ke

aata nahin jo samne mare hijab ke

hum dil se hain nisar usi aaftab ke

bharosa hai tirā aur hai tere sivā kis

na deve aasrā jab mujhe ho aasrā kis

bharosa hai tera hi aur hai tere siwa kis ka

na dewe aasra jab tu mujhe ho aasra kis ka

hairāñ thā ki dil merā kahāñ ke chhupā hai

jugnū tarah yaar dastār meñ chamkā

hairan tha ki dil mera kahan ja ke chhupa hai

jugnu ki tarah yar ki dastar mein chamka

nuur thā sho.ala thā barq ḳhurshīd thā

kuchh to ai muusā kaho kyā thā vo jalva tuur

nur tha ya shoala tha ya barq ya KHurshid tha

kuchh to ai musa kaho kya tha wo jalwa tur ka

nekī koī kaam aayā nahīñ mujh se

kyā hovegā anjām mirā kuchh nahīñ ma.alūm

neki ka koi kaam hi aaya nahin mujh se

kya howega anjam mera kuchh nahin malum

jab ġhunche ne sar apnā garebāñ se nikālā

bulbul ne qadam phir na gulistāñ se nikālā

jab ghunche ne sar apna gareban se nikala

bulbul ne qadam phir na gulistan se nikala

jalva-gar thā har jagah kā'ba thā but-ḳhāna thā

ghar hazāroñ the magar vo ek sāhab-ḳhāna thā

jalwa-gar tha har jagah ka'ba tha ya but-KHana tha

ghar hazaron the magar wo ek sahab-KHana tha

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now