aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Farhat Abbas's Photo'

Farhat Abbas

1956 | Lahore, Pakistan

Sher of Farhat Abbas

2.2K
Favorite

SORT BY

donoñ lāzim haiñ lā-zavāl bhī haiñ

ik tirā husn ik mirā ye ishq

donon lazim hain la-zawal bhi hain

ek tera husn ek mera ye ishq

tere sāñche meñ Dhal gayā āḳhir

shahr saarā badal gayā āḳhir

tere sanche mein Dhal gaya aaKHir

shahr sara badal gaya aaKHir

har taraf dostī mela hai

phir bhī har aadmī akelā hai

har taraf dosti ka mela hai

phir bhi har aadmi akela hai

haar jā.egī zindagī lekin

hārne nahīñ mirā ye ishq

haar jaegi zindagi lekin

haarne ka nahin mera ye ishq

jise bhī dost banāyā vo ban gayā dushman

ye ham ne kaun taqsīr sazā paa.ī

jise bhi dost banaya wo ban gaya dushman

ye hum ne kaun si taqsir ki saza pai

kis sādgī se vo bhī daġhā de gayā mujhe

jis shaḳhs ne kahā thā kabhī devtā mujhe

kis sadgi se wo bhi dagha de gaya mujhe

jis shaKHs ne kaha tha kabhi dewta mujhe

'farhat' sunā.ūñ kis ko kahānī maiñ gaañv

ghar ghar meñ zinda lāsheñ thiiñ majbūr maaoñ

'farhat' sunaun kis ko kahani main ganw ki

ghar ghar mein zinda lashen thin majbur maon ki

mere har ek sach pe unheñ jhuuT gumāñ

kartā hai bad-gumān ḳhudā ḳhair kare

mere har ek sach pe unhen jhuT ka guman

karta hai bad-guman KHuda KHair hi kare

maiñ aqīdat meñ na.at likhtā huuñ

maiñ haqīqat meñ na.at likhtā huuñ

main aqidat mein nat likhta hun

main haqiqat mein nat likhta hun

shahr shahr mirī jaañ talab rakhtā hai

aaj sochā hai yahī jaan sadqa de duuñ

shahr ka shahr meri jaan ki talab rakhta hai

aaj socha hai yahi jaan ka sadqa de dun

ik dūsre se ḳhauf shiddat thī is qadar

kal raat apne-āp se maiñ ḳhud lipaT gayā

ek dusre se KHauf ki shiddat thi is qadar

kal raat apne-ap se main KHud lipaT gaya

phaile haiñ saare shahr meñ qisse ajiib se

guzrā hai jab bhī phuul chehra qarīb se

phaile hain sare shahr mein qisse ajib se

guzra hai jab bhi phul sa chehra qarib se

vo mere baḳht tahrīr kyuuñ nahīñ bantā

vo merā ḳhvāb hai ta.abīr kyuuñ nahīñ bantā

wo mere baKHt ki tahrir kyun nahin banta

wo mera KHwab hai tabir kyun nahin banta

chehre badal badal ke kahānī sunā ga.e

dard-o-alam firāq mirī jaañ ko aa ga.e

chehre badal badal ke kahani suna gae

dard-o-alam firaq meri jaan ko aa gae

ye kā.enāt aaj bhī mansūb aap se

ye kā.enāt aaj bhī jāgīr aap

ye kaenat aaj bhi mansub aap se

ye kaenat aaj bhi jagir aap ki

tum use le chalo lab-e-kausar

ai farishto ye karbalā.ī hai

tum use le chalo lab-e-kausar

ai farishto ye karbalai hai

raqs karte hue bagūloñ meñ

mātamī shor bhī havā hai

raqs karte hue bagulon mein

matami shor bhi hawa ka hai

zalzaloñ numūd se 'farhat'

mustaqar mustaqar nahīñ rahte

zalzalon ki numud se 'farhat'

mustaqar mustaqar nahin rahte

ta.amīr kar ga.e kabhī mismār ho ga.e

lamhe mirī uThān ko dīvār kar ga.e

tamir kar gae kabhi mismar ho gae

lamhe meri uThan ko diwar kar gae

betābī-e-iz.hār ne yuuñ ḳhaak kiyā hai

duzdīda-nigāhī ne mujhe chaak kiyā hai

betabi-e-izhaar ne yun KHak kiya hai

duzdida-nigahi ne mujhe chaak kiya hai

din nikalte badan par habs yūrish huī

rāt-bhar sochoñ ke pathrāv se sar jaltā rahā

din nikalte hi badan par habs ki yurish hui

raat-bhar sochon ke pathraw se sar jalta raha

laakh ajzā meñ ho gayā taqsīm

kyā ajab mujtam.a huā 'farhat'

lakh ajza mein ho gaya taqsim

kya ajab mujtama hua 'farhat'

baat ahl-e-junūñ kyā samjhe

vo ḳhirad jo kaḌe ziyān meñ hai

baat ahl-e-junun ki kya samjhe

wo KHirad jo kaDe ziyan mein hai

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now