aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Iqbal Safi Puri's Photo'

Iqbal Safi Puri

1916 - 1999

Sher of Iqbal Safi Puri

mire laboñ tabassum to sab ne dekh liyā

jo dil pe biit rahī hai vo koī kyā jaane

mere labon ka tabassum to sab ne dekh liya

jo dil pe bit rahi hai wo koi kya jaane

koī samjhā.e ki kyā rañg hai maiḳhāne

aañkh saaqī uThe naam ho paimāne

koi samjhae ki kya rang hai maiKHane ka

aankh saqi ki uThe nam ho paimane ka

kaun jaane ki ik tabassum se

kitne mafhūm-e-ġham nikalte haiñ

kaun jaane ki ek tabassum se

kitne mafhum-e-gham nikalte hain

chashm-e-sāqī mujhe har gaam pe yaad aatī hai

rāstā bhuul na jā.ūñ kahīñ maiḳhāne

chashm-e-saqi mujhe har gam pe yaad aati hai

rasta bhul na jaun kahin maiKHane ka

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now