aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
1974 | Ahmedabad, India
ḳhud-kushī se sabaq milā ham ko
zindagī maut se to behtar hai
KHud-kushi se sabaq mila hum ko
zindagi maut se to behtar hai
maiñ bhalā bach paatā kaise zulm ke pathrāv se
kāñch kī dīvār se merī hifāzat kī ga.ī
main bhala bach pata kaise zulm ke pathraw se
kanch ki diwar se meri hifazat ki gai
nekiyāñ karne kā 'ātif' kyā 'ajab andāz hai
saikḌoñ ko luuT kar kuchh par saḳhāvat kī ga.ī
nekiyan karne ka 'atif' kya 'ajab andaz hai
saikDon ko luT kar kuchh par saKHawat ki gai
rahe na mehmāñ hamārā bhūkā
charāġh yuuñ bhī bujhāyā ham ne
rahe na mehman hamara bhuka
charagh yun bhi bujhaya hum ne
ujālā bechne vo aa ga.e haiñ aaj pastī meñ
jo kal kah kar ga.e the ham añdheroñ ko miTā.eñge
ujala bechne wo aa gae hain aaj pasti mein
jo kal kah kar gae the hum andheron ko miTaenge
Justju
1974
2024
You have exhausted 5 free content pages per year. Register and enjoy UNLIMITED access to the whole universe of Urdu Poetry, Rare Books, Language Learning, Sufi Mysticism, and more.
Jashn-e-Rekhta 10th Edition | 5-6-7 December Get Tickets Here
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books