Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Khalid Nadeem Shaani's Photo'

Khalid Nadeem Shaani

Punjab, Pakistan

One of the widely popular Urdu poets

One of the widely popular Urdu poets

Sher of Khalid Nadeem Shaani

kahāñ se aa.ī thī āḳhir tirī talab mujh meñ

ḳhudā ne mujh ko banāyā to maiñ akelā thā

kahan se aai thi aaKHir teri talab mujh mein

KHuda ne mujh ko banaya to main akela tha

maiñ agar ḳhud ko maar Dālūñ to

kyā bachegā tirī kahānī meñ

main agar KHud ko mar Dalun to

kya bachega teri kahani mein

hamī vo ilm ke raushan charāġh haiñ jin ko

havā bujhātī nahīñ hai salām kartī hai

hami wo ilm ke raushan charagh hain jin ko

hawa bujhati nahin hai salam karti hai

jis tarah aap ne bīmār se ruḳhsat hai

saaf lagtā hai janāze meñ nahīñ ā.eñge

jis tarah aap ne bimar se ruKHsat li hai

saf lagta hai janaze mein nahin aaenge

hazrat-e-josh ke dīvān jab zikr chale

kitnī hasrat se hameñ urdu zabāñ dekhtī hai

hazrat-e-josh ke diwan ka jab zikr chale

kitni hasrat se hamein urdu zaban dekhti hai

mirī ārzūoñ ke siip kisī āb-e-naisāñ se mel kar

mujhe āshnā-e-visāl kar mirī bekalī ko qarār de

meri aarzuon ke sip ka kisi aab-e-naisan se mel kar

mujhe aashna-e-visal kar meri bekali ko qarar de

tum in lakīroñ meñ ik ḳhushī bhī talāsh kar lo to mo.ajiza hai

ki maiñ to bachpan se jāntā huuñ mirī hathelī naam dukh hai

tum in lakiron mein ek KHushi bhi talash kar lo to moajiza hai

ki main to bachpan se jaanta hun meri hatheli ka nam dukh hai

dard chaah meñ pahle to kuredūñ shab-bhar

phir usī zaḳhm ko siine mazā letā huuñ

dard ki chah mein pahle to kuredun shab-bhar

phir usi zaKHm ko sine ka maza leta hun

Recitation

Speak Now