Sher of M Ali
ek patthar nahīñ to phir kyā hai
dil agar ġham se āshnā na huā
ek patthar nahin to phir kya hai
dil agar gham se aashna na hua
dil kaT ke rah gaye na bahā buuñd bhar lahū
lafzo tumhārī dhaar kahāñ ḳhanjaroñ meñ hai
dil kaT ke rah gaye na baha bund bhar lahu
lafzo tumhaari dhaar kahan KHanjaron mein hai
bhiiḌ rishtoñ kī bhī hai aur hai tanhā.ī bhī
ghar meñ rah kar koī be-ghar hai tumheñ kyā mā'lūm
bhiD rishton ki bhi hai aur hai tanhai bhi
ghar mein rah kar koi be-ghar hai tumhein kya ma'lum
pyaas baaqī thī pyaas baaqī hai
sang se ābshār tak sab jhuuT
pyas baqi thi pyas baqi hai
sang se aabshaar tak sab jhuT
ik hayāt-e-nau chhupī hai karbalā kī raah meñ
karbalā rāh-e-'amal hai manzil-e-mātam nahīñ
ek hayat-e-nau chhupi hai karbala ki rah mein
karbala rah-e-'amal hai manzil-e-matam nahin