Sher of Mahfooz Mohammad
apnī ammī ko mohabbat se jo dekhā maiñ ne
puurī jannat mirī āñkhoñ meñ simaT aa.ī hai
apni ammi ko mohabbat se jo dekha main ne
puri jannat meri aankhon mein simaT aai hai
tumhāre saath hone se mujhe taskīn miltī hai
mire hamdam mire dilbar hamāre saath rahnā tum
tumhaare sath hone se mujhe taskin milti hai
mere hamdam mere dilbar hamare sath rahna tum
qayādat phir se paane ko hai ye allāma kā nusḳha
sabaq paḌh le adālat ke sadāqat ke shujā.at ke
qayaadat phir se pane ko hai ye allama ka nusKHa
sabaq paDh le adalat ke sadaqat ke shujaat ke
kyā kahā ḳhushbueñ luTātā huuñ
maiñ tirī haañ meñ haañ milātā huuñ
kya kaha KHushbuen luTata hun
main teri han mein han milata hun
ham tumhāre to har tarah se haiñ
aur kisī ke kisī tarah bhī nahīñ
hum tumhaare to har tarah se hain
aur kisi ke kisi tarah bhi nahin
dariyā ne shart bāñdhī thī qīmat pe pyaas kī
ham ne bhī jaan de dī magar tishnagī na dī
dariya ne shart bandhi thi qimat pe pyas ki
hum ne bhi jaan de di magar tishnagi na di
mujhe tum se ulajhnā hai kisī din
bahut se mas.ale suljhā sakūñgā
mujhe tum se ulajhna hai kisi din
bahut se masale suljha sakunga
fazāoñ meñ mohabbat gholtā huuñ
maiñ hindī huuñ maiñ urdu boltā huuñ
fazaon mein mohabbat gholta hun
main hindi hun main urdu bolta hun
kidhar nishāna lagā rahe ho kahāñ nigāheñ Tikī huī haiñ
ye kaise pakḌī huī hai tum ne kamāñ tumhārī muḌī huī hai
kidhar nishana laga rahe ho kahan nigahen Tiki hui hain
ye kaise pakDi hui hai tum ne kaman tumhaari muDi hui hai