Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Manmohan Talkh's Photo'

Manmohan Talkh

1931 - 2001 | Delhi, India

One of prominent modern poets. Disciple of Yas Yagana Changezi.

One of prominent modern poets. Disciple of Yas Yagana Changezi.

Manmohan Talkh

Ghazal 34

Nazm 4

 

Sher-o-Shayari 14

maiñ ḳhud meñ gūñjtā huuñ ban ke terā sannāTā

mujhe na dekh mirī tarah be-zabāñ ban kar

main KHud mein gunjta hun ban ke tera sannaTa

mujhe na dekh meri tarah be-zaban ban kar

kisī ke saath na hone ke dukh bhī jhele haiñ

kisī ke saath magar aur bhī akele haiñ

kisi ke sath na hone ke dukh bhi jhele hain

kisi ke sath magar aur bhi akele hain

shikāyat aur to kuchh bhī nahīñ in āñkhoñ se

zarā baat pe paanī bahut barastā hai

shikayat aur to kuchh bhi nahin in aankhon se

zara si baat pe pani bahut barasta hai

duniyā merī zindagī ke din kam kartī jaatī hai kyuuñ

ḳhuun pasīna ek kiyā hai ye merī mazdūrī hai

duniya meri zindagi ke din kam karti jati hai kyun

KHun pasina ek kiya hai ye meri mazduri hai

ham ka.ī roz se be-vaj.h bahut ḳhush haiñ chalo

zindagī ye adā.eñ bhī to dekhī jaa.eñ

hum kai roz se be-wajh bahut KHush hain chalo

zindagi ki ye adaen bhi to dekhi jaen

BOOKS 12

Audios 9

aa.e.n aa.nsuu agar aa.nkho.n me.n to bas pii jaa.e.n

abhii shu.uur ne bas dukhtii rag TaTolii hai

bahut hai.n roz-e-savaab-o-gunaah dekhne ko

Recitation

RELATED Poets

More Poets From "Delhi"

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now