Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Mohammad Mazhar Niyazi's Photo'

Mohammad Mazhar Niyazi

1966 | Mianwali, Pakistan

Mohammad Mazhar Niyazi

Ghazal 10

Sher-o-Shayari 12

hazāroñ āñkheñ mujhe be-zabāñ samajhtī haiñ

jo dekhtā hai maiñ us ko sunā.ī detā huuñ

hazaron aankhen mujhe be-zaban samajhti hain

jo dekhta hai main us ko sunai deta hun

  • Share this

bahut ḳhush nazar aatā hai mujhe itnā batā

mujh se pahle bhī koī shaḳhs yahāñ aayā thā

tu bahut KHush nazar aata hai mujhe itna bata

mujh se pahle bhi koi shaKHs yahan aaya tha

  • Share this

nuur se duur siyah-rāt meñ zinda rahnā

kitnā mushkil hai mazāfāt meñ zinda rahnā

nur se dur siyah-raat mein zinda rahna

kitna mushkil hai mazafat mein zinda rahna

  • Share this

use kaho ki yahāñ itnī der tak to ruke

ki saare shahr āb-o-havā badal jaa.e

use kaho ki yahan itni der tak to ruke

ki sare shahr ki aab-o-hawa badal jae

  • Share this

ye kamra band hai chāroñ taraf se

udāsī kis taraf se aa rahī hai

ye kamra band hai chaaron taraf se

udasi kis taraf se aa rahi hai

  • Share this

Recitation

Jashn-e-Rekhta 10th Edition | 5-6-7 December Get Tickets Here

Speak Now