Sher of Mohammad Rafi Sauda
'saudā' jahāñ meñ aa ke koī kuchh na le gayā
jaatā huuñ ek maiñ dil-e-pur-ārzū liye
'sauda' jahan mein aa ke koi kuchh na le gaya
jata hun ek main dil-e-pur-arzu liye
ġharaz kufr se kuchh na diiñ se hai matlab
tamāshā-e-dair-o-haram dekhte haiñ
gharaz kufr se kuchh na din se hai matlab
tamasha-e-dair-o-haram dekhte hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
mat pūchh ye ki raat kaTī kyūñke tujh baġhair
is guftugū se fā.eda pyāre guzar ga.ī
mat puchh ye ki raat kaTi kyunke tujh baghair
is guftugu se faeda pyare guzar gai
'saudā' kī jo bālīñ pe gayā shor-e-qayāmat
ḳhuddām-e-adab bole abhī aañkh lagī hai
'sauda' ki jo baalin pe gaya shor-e-qayamat
KHuddam-e-adab bole abhi aankh lagi hai
kaifiyyat-e-chashm us kī mujhe yaad hai 'saudā'
sāġhar ko mire haath se liijo ki chalā maiñ
kaifiyyat-e-chashm us ki mujhe yaad hai 'sauda'
saghar ko mere hath se lijo ki chala main
-
Tag : Eyes
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
gila likhūñ maiñ agar terī bevafā.ī kā
lahū meñ ġharq safīna ho āshnā.ī kā
gila likhun main agar teri bewafai ka
lahu mein gharq safina ho aashnai ka
gul pheñke hai auroñ kī taraf balki samar bhī
ai ḳhāna-bar-andāz-e-chaman kuchh to idhar bhī
gul phenke hai auron ki taraf balki samar bhi
ai KHana-bar-andaz-e-chaman kuchh to idhar bhi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
itnā likhā.iyo mirī lauh-e-mazār par
yaañ tak na zī-hayāt ko koī ḳhafā kare
itna likhaiyo meri lauh-e-mazar par
yan tak na zi-hayat ko koi KHafa kare
fikr-e-ma.āsh ishq-e-butāñ yād-e-raftagāñ
is zindagī meñ ab koī kyā kyā kiyā kare
fikr-e-maash ishq-e-butan yaad-e-raftagan
is zindagi mein ab koi kya kya kiya kare
gar tujh meñ hai vafā to jafākār kaun hai
dil-dār tū huā to dil-āzār kaun hai
gar tujh mein hai wafa to jafakar kaun hai
dil-dar tu hua to dil-azar kaun hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tum kaan dhar suno na suno us ke harf ko
'saudā' ko haigī apnī hī guftār se ġharaz
tum kan dhar suno na suno us ke harf ko
'sauda' ko haigi apni hi guftar se gharaz
mauj-e-nasīm aaj hai ālūda gard se
dil ḳhaak ho gayā hai kisī be-qarār kā
mauj-e-nasim aaj hai aaluda gard se
dil KHak ho gaya hai kisi be-qarar ka
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
hai muddatoñ se ḳhāna-e-zanjīr be-sadā
ma.alūm hī nahīñ ki divāne kidhar ga.e
hai muddaton se KHana-e-zanjir be-sada
malum hi nahin ki diwane kidhar gae
tanhā tire mātam meñ nahīñ shām-e-siyah-posh
rahtā hai sadā chaak garebān-e-sahar bhī
the Night's black garb is not alone / there in your lament
the ever-tattered collar of / the Dawn too is present
tanha tere matam mein nahin sham-e-siyah-posh
rahta hai sada chaak gareban-e-sahar bhi
the Night's black garb is not alone / there in your lament
the ever-tattered collar of / the Dawn too is present
-
Share this
- Translation
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
nahīñ hai ghar koī aisā jahāñ us ko na dekhā ho
kanhayyā se nahīñ kuchh kam sanam merā vo harjā.ī
nahin hai ghar koi aisa jahan us ko na dekha ho
kanhayya se nahin kuchh kam sanam mera wo harjai
kyā karūñgā le ke vaa.iz haath se hūroñ ke jaam
huuñ maiñ sāġhar-kash kisī ke sāġhar-e-maḳhmūr kā
kya karunga le ke waiz hath se huron ke jam
hun main saghar-kash kisi ke saghar-e-maKHmur ka
bādshāhat do jahāñ kī bhī jo hove mujh ko
tere kūche kī gadā.ī se na kho de mujh ko
baadshahat do jahan ki bhi jo howe mujh ko
tere kuche ki gadai se na kho de mujh ko
na jiyā terī chashm kā maarā
na tirī zulf kā bañdhā chhūTā
na jiya teri chashm ka mara
na teri zulf ka bandha chhuTa
is kashmakash se daam ke kyā kaam thā hameñ
ai ulfat-e-chaman tirā ḳhāna-ḳharāb ho
is kashmakash se dam ke kya kaam tha hamein
ai ulfat-e-chaman tera KHana-KHarab ho
nasīm hai tire kūche meñ aur sabā bhī hai
hamārī ḳhaak se dekho to kuchh rahā bhī hai
nasim hai tere kuche mein aur saba bhi hai
hamari KHak se dekho to kuchh raha bhi hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ve sūrateñ ilāhī kis mulk bastiyāñ haiñ
ab dekhne ko jin ke āñkheñ tarastiyāñ haiñ
we suraten ilahi kis mulk bastiyan hain
ab dekhne ko jin ke aankhen tarastiyan hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jis roz kisī aur pe bedād karoge
ye yaad rahe ham ko bahut yaad karoge
jis roz kisi aur pe bedad karoge
ye yaad rahe hum ko bahut yaad karoge
kise tāqat hai sharh-e-shauq us majlis meñ karne kī
uThā dene ke Dar se saañs vaañ lete haiñ rah rah ke
kise taqat hai sharh-e-shauq us majlis mein karne ki
uTha dene ke Dar se sans wan lete hain rah rah ke
badlā tire sitam kā koī tujh se kyā kare
apnā hī tū farefta hove ḳhudā kare
badla tere sitam ka koi tujh se kya kare
apna hi tu farefta howe KHuda kare
maiñ ne tum ko dil diyā aur tum ne mujhe rusvā kiyā
maiñ ne tum se kyā kiyā aur tum ne mujh se kyā kiyā
main ne tum ko dil diya aur tum ne mujhe ruswa kiya
main ne tum se kya kiya aur tum ne mujh se kya kiya
kaun kisī kā ġham khātā hai
kahne ko ġham-ḳhvār hai duniyā
kaun kisi ka gham khata hai
kahne ko gham-KHwar hai duniya
dil ke TukḌoñ ko baġhal-gīr liye phirtā huuñ
kuchh ilaaj is kā bhī ai shīsha-girāñ hai ki nahīñ
dil ke TukDon ko baghal-gir liye phirta hun
kuchh ilaj is ka bhi ai shisha-giran hai ki nahin
tirā ḳhat aane se dil ko mere ārām kyā hogā
ḳhudā jaane ki is āġhāz kā anjām kyā hogā
tera KHat aane se dil ko mere aaram kya hoga
KHuda jaane ki is aaghaz ka anjam kya hoga
kaam aa.ī kohkan kī mashaqqat na ishq meñ
patthar se jū-e-shīr ke laane ne kyā kiyā
kaam aai kohkan ki mashaqqat na ishq mein
patthar se ju-e-shir ke lane ne kya kiya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ammāme ko utaar ke paḌhiyo namāz shaiḳh
sajde se varna sar ko uThāyā na jā.egā
ammame ko utar ke paDhiyo namaz shaiKH
sajde se warna sar ko uThaya na jaega
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
shāḳh meñ gul kī nazākat ye baham pahuñchī hai
sham.a-sāñ garmī-e-nazzāra se jaatī hai pighal
shaKH mein gul ki nazakat ye baham pahunchi hai
shama-san garmi-e-nazzara se jati hai pighal
'saudā' hue jab āshiq kyā paas aabrū kā
suntā hai ai divāne jab dil diyā to phir kyā
'sauda' hue jab aashiq kya pas aabru ka
sunta hai ai diwane jab dil diya to phir kya
akelā ho rah-e-duniyā meñ gir chāhe bahut jiinā
huī hai faiz-e-tanhā.ī se umr-e-ḳhizr tūlānī
akela ho rah-e-duniya mein gir chahe bahut jina
hui hai faiz-e-tanhai se umr-e-KHizr tulani
kahte haiñ vo jo hai 'saudā' kā qasīda hī ḳhuub
un kī ḳhidmat meñ liye maiñ ye ġhazal jā.ūñgā
kahte hain wo jo hai 'sauda' ka qasida hi KHub
un ki KHidmat mein liye main ye ghazal jaunga
'saudā' se shaḳhs ke ta.iiñ āzurda kījiye
ai ḳhud-parast haif nahīñ tū vafā-parast
a faithful one like 'saudā', you / consign to misery
self-obsessed you are alas! no thought of loyalty
'sauda' se shaKHs ke tain aazurda kijiye
ai KHud-parast haif nahin tu wafa-parast
a faithful one like 'saudā', you / consign to misery
self-obsessed you are alas! no thought of loyalty
-
Share this
- Translation
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
'saudā' tū is ġhazal ko ġhazal-dar-ġhazal hī kah
honā hai tujh ko 'mīr' se ustād kī taraf
'sauda' tu is ghazal ko ghazal-dar-ghazal hi kah
hona hai tujh ko 'mir' se ustad ki taraf
-
Tag : Meer Taqi Meer
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kahiyo sabā salām hamārā bahār se
ham to chaman ko chhoḌ ke sū-e-qafas chale
kahiyo saba salam hamara bahaar se
hum to chaman ko chhoD ke su-e-qafas chale
saaqī hamārī tauba tujh par hai kyuuñ gavāra
minnat nahīñ to zālim tarġhīb yā ishāra
saqi hamari tauba tujh par hai kyun gawara
minnat nahin to zalim targhib ya ishaara
kahte the ham na dekh sakeñ roz-e-hijr ko
par jo ḳhudā dikhā.e so nā-chār dekhnā
kahte the hum na dekh saken roz-e-hijr ko
par jo KHuda dikhae so na-chaar dekhna
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
'saudā' jo be-ḳhabar hai vahī yaañ kare hai aish
mushkil bahut hai un ko jo rakhte haiñ āgahī
'sauda' jo be-KHabar hai wahi yan kare hai aish
mushkil bahut hai un ko jo rakhte hain aagahi
dil mat Tapak nazar se ki paayā na jā.egā
juuñ ashk phir zamīñ se uThāyā na jā.egā
dil mat Tapak nazar se ki paya na jaega
jun ashk phir zamin se uThaya na jaega
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kiyā azal se hai sāne.a ne but-parast mujhe
kabhū butoñ se phirūñ maiñ ye to ḳhudā na kare
kiya azal se hai sanea ne but-parast mujhe
kabhu buton se phirun main ye to KHuda na kare
ye to nahīñ kahtā huuñ ki sach-much karo insāf
jhūTī bhī tasallī ho to jiitā hī rahūñ maiñ
ye to nahin kahta hun ki sach-much karo insaf
jhuTi bhi tasalli ho to jita hi rahun main
'saudā' tirī fariyād se āñkhoñ meñ kaTī raat
aa.ī hai sahar hone ko tuk tū kahīñ mar bhī
'sauda' teri fariyaad se aankhon mein kaTi raat
aai hai sahar hone ko tuk tu kahin mar bhi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
na kar 'saudā' tū shikva ham se dil kī be-qarārī kā
mohabbat kis ko detī hai miyāñ ārām duniyā meñ
na kar 'sauda' tu shikwa hum se dil ki be-qarari ka
mohabbat kis ko deti hai miyan aaram duniya mein
'saudā' jo tirā haal hai itnā to nahīñ vo
kyā jāniye tū ne use kis aan meñ dekhā
'sauda' jo tera haal hai itna to nahin wo
kya jaaniye tu ne use kis aan mein dekha
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
har sañg meñ sharār hai tere zuhūr kā
muusā nahīñ jo sair karūñ koh tuur kā
har sang mein sharar hai tere zuhur ka
musa nahin jo sair karun koh tur ka
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
har aan aa mujhī ko satāte ho nāseho
samjhā ke tum use bhī to yak-bār kuchh kaho
har aan aa mujhi ko satate ho naseho
samjha ke tum use bhi to yak-bar kuchh kaho
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
be-sabātī zamāne kī nā-chār
karnī mujh ko bayān paḌtī hai
be-sabaati zamane ki na-chaar
karni mujh ko bayan paDti hai
-
Tag : Besabati
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
saaqī ga.ī bahār rahī dil meñ ye havas
tū minnatoñ se jaam de aur maiñ kahūñ ki bas
you plead with me to take a drink and I say no more
saqi gai bahaar rahi dil mein ye hawas
tu minnaton se jam de aur main kahun ki bas
you plead with me to take a drink and I say no more
-
Share this
- Translation
- Critique
- Comments
- Download