Sher of Mukhtar Tilhari
dil dukhānā mirā nahīñ maqsad
haq-bayānī mirī nahīñ jaatī
dil dukhana mera nahin maqsad
haq-bayani meri nahin jati
aaj aisī vādiyoñ se ho ke aaya huuñ jahāñ
peḌ the nazdīk lekin duur tak saaya na thā
aaj aisi wadiyon se ho ke aaya hun jahan
peD the nazdik lekin dur tak saya na tha
thakā diyā hai mujhe is qadar masāfat ne
safar ke naam se ab ruuh kaañp jaatī hai
thaka diya hai mujhe is qadar masafat ne
safar ke nam se ab ruh kanp jati hai
jis vaqt huā kartī hai bechain tabī.at
us vaqt bayābān se lagte haiñ chaman bhī
jis waqt hua karti hai bechain tabiat
us waqt bayaban se lagte hain chaman bhi
rahā na kaam us kī justujū meñ
idhar maiñ ḳhud se bhī gum ho gayā huuñ
raha na kaam us ki justuju mein
idhar main KHud se bhi gum ho gaya hun
mirī hañsī ko sar-e-bazm sah liyā us ne
phir us ke baa'd akele meñ intiqām liyā
meri hansi ko sar-e-bazm sah liya us ne
phir us ke ba'd akele mein intiqam liya
miTānā chāhūñ to mumkin kahāñ miTā bhī sakūñ
vo ek baal jo ā.īna-e-ḳhayāl meñ hai
miTana chahun to mumkin kahan miTa bhi sakun
wo ek baal jo aaina-e-KHayal mein hai
hamāre zehn pe us kā asar to ab bhī hai
bichhaḌne vaalā sharīk-e-safar to ab bhī hai
hamare zehn pe us ka asar to ab bhi hai
bichhaDne wala sharik-e-safar to ab bhi hai
irāde phir bhī mustahkam bahut haiñ
mirī rāhoñ meñ pech-o-ḳham bahut haiñ
irade phir bhi mustahkam bahut hain
meri rahon mein pech-o-KHam bahut hain
hamārī samt se be-raġhbatī na kar varna
tire baġhair qarār aa gayā to kyā hogā
hamari samt se be-raghbati na kar warna
tere baghair qarar aa gaya to kya hoga
un se bāteñ karte karte dil meñ Tiis chamak uTThī thī
lafzoñ par phūloñ kī ridā thī ma.anī meñ nashtar pinhāñ the
un se baaten karte karte dil mein Tis chamak uTThi thi
lafzon par phulon ki rida thi mani mein nashtar pinhan the
vo aa.eñ ham se dalīl māñgeñ
jo kah rahe haiñ ḳhudā nahīñ hai
wo aaen hum se dalil mangen
jo kah rahe hain KHuda nahin hai