aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Nayyar Sultanpuri's Photo'

Nayyar Sultanpuri

1908 - 1935

Nayyar Sultanpuri

Ghazal 4

 

Sher-o-Shayari 4

pahuñchā na thā yaqīn manzil pe maiñ abhī

merā ḳhayāl mujh se bhī aage nikal gayā

pahuncha na tha yaqin ki manzil pe main abhi

mera KHayal mujh se bhi aage nikal gaya

baḌhne lagī yaqīn o gumāñ meñ jo kashmakash

va.ada bhī sub.h o shaam pe Taltā chalā gayā

baDhne lagi yaqin o guman mein jo kashmakash

wada bhi subh o sham pe Talta chala gaya

siine pe kitne daaġh liye phir rahā huuñ maiñ

zaḳhmoñ ek baaġh liye phir rahā huuñ maiñ

sine pe kitne dagh liye phir raha hun main

zaKHmon ka ek bagh liye phir raha hun main

hai 'nayyar' mujh ko saaqī ne ye kaisī ḳhaas mai

sab nazreñ uTh rahī haiñ mere sāġhar taraf

di hai 'nayyar' mujh ko saqi ne ye kaisi KHas mai

sab ki nazren uTh rahi hain mere saghar ki taraf

BOOKS 95

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now