Sher of Parveen Shaghaf
niiñd se bedār hote hī huī roTī kī chaah
āñchaloñ meñ so ga.ī hai zindagī apnī jagah
nind se bedar hote hi hui roTi ki chah
aanchalon mein so gai hai zindagi apni jagah
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
zindagī khel bahut ḳhuub haiñ tere lekin
dil ko kuchh der nayā ḳhvāb dikhāyā jaa.e
zindagi khel bahut KHub hain tere lekin
dil ko kuchh der naya KHwab dikhaya jae
shab bhar vo merī bāhoñ se lipTā rahā magar
us vasl ke vo mujh se doshāle bhī le gayā
shab bhar wo meri bahon se lipTa raha magar
us wasl ke wo mujh se doshaale bhi le gaya
chashm-e-āhū kī qasam rone se dukhtā hai dil
terī palkoñ pe maiñ har shaam suhānī likh duuñ
chashm-e-ahu ki qasam rone se dukhta hai dil
teri palkon pe main har sham suhani likh dun
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
sab dekhte rahe haiñ tamāshā khaḌe khaḌe
hañs kar badan kī ḳhaak uḌātī rahī huuñ maiñ
sab dekhte rahe hain tamasha khaDe khaDe
hans kar badan ki KHak uDati rahi hun main
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
baat vo koī purānī chheḌte
guzrī shāmoñ kī kahānī chheḌte
baat wo koi purani chheDte
guzri shamon ki kahani chheDte
terī takmīl kī ḳhātir hī faqat ā.īne
ḳhud ko tayyār kiyā jaa.e zarūrī to nahīñ
teri takmil ki KHatir hi faqat aaine
KHud ko tayyar kiya jae zaruri to nahin
maiñ to nam ret kī mūrat kī tarah huuñ lekin
baa'd is ke mujhe patthar kā ḳhudā honā hai
main to nam ret ki murat ki tarah hun lekin
ba'd is ke mujhe patthar ka KHuda hona hai