Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Rifat Sultan's Photo'

Rifat Sultan

Sher of Rifat Sultan

dil meñ koī ḳhushī nahīñ lekin

ādatan muskurā rahā huuñ maiñ

dil mein koi KHushi nahin lekin

aadatan muskura raha hun main

mirī baat javāb na de

maiñ samajhtā huuñ ḳhāmushī zabāñ

tu meri baat ka jawab na de

main samajhta hun KHamushi ki zaban

ġham-e-hayāt se itnī bhī hai kahāñ fursat

ki terī yaad meñ bhar ke ro liyā jaa.e

gham-e-hayat se itni bhi hai kahan fursat

ki teri yaad mein ji bhar ke ro liya jae

mujhe bhī yuuñ to baḌī aarzū hai jiine

magar savāl ye hai kis tarah jiyā jaa.e

mujhe bhi yun to baDi aarzu hai jine ki

magar sawal ye hai kis tarah jiya jae

umr bhar tujh ko dekhne par bhī

zauq-e-nazzāra kam nahīñ hotā

umr bhar tujh ko dekhne par bhi

zauq-e-nazzara kam nahin hota

ab is maqām pe laa.ī hai zindagī mujh ko

ki chāhtā huuñ tujhe bhī bhulā diyā jaa.e

ab is maqam pe lai hai zindagi mujh ko

ki chahta hun tujhe bhi bhula diya jae

jaltā rahā huuñ ziist ke dozaḳh meñ umr bhar

ye aur baat hai mirī koī ḳhatā nahīñ

jalta raha hun zist ke dozaKH mein umr bhar

ye aur baat hai meri koi KHata nahin

rahā huuñ kuchh is tarah jaise

aag lag jaa.e aur ho na dhuāñ

ji raha hun kuchh is tarah jaise

aag lag jae aur ho na dhuan

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now