Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Safiya Shamim's Photo'

Safiya Shamim

1920 - 2008 | Rawalpindi, Pakistan

Sher of Safiya Shamim

honā hai dard-e-ishq se gar lazzat-āshnā

dil ko ḳharāb-e-talḳhī-e-hijrāñ to kījiye

hona hai dard-e-ishq se gar lazzat-ashna

dil ko KHarab-e-talKHi-e-hijran to kijiye

bahār-e-nau phir hai aamad aamad

chaman ujḌā koī phir ham-nafas kyā

bahaar-e-nau ki phir hai aamad aamad

chaman ujDa koi phir ham-nafas kya

dasht gulzār huā jaatā hai

kyā yahāñ ahl-e-vafā baiThe the

dasht gulzar hua jata hai

kya yahan ahl-e-wafa baiThe the

jis ko dil se lagā ke rakkhā thā

vo ḳhazāna luTā ga.e aañsū

jis ko dil se laga ke rakkha tha

wo KHazana luTa gae aansu

hosh aayā to kahīñ kuchh bhī na thā

ham bhī kis bazm meñ baiThe the

hosh aaya to kahin kuchh bhi na tha

hum bhi kis bazm mein ja baiThe the

ronā mujhe ḳhizāñ nahīñ kuchh magar 'shamīm'

is gila hai aa.ī chaman meñ bahār kyuuñ

rona mujhe KHizan ka nahin kuchh magar 'shamim'

is ka gila hai aai chaman mein bahaar kyun

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now