aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Sayyed Riyaz Raheem's Photo'

Sayyed Riyaz Raheem

1959 | Mumbai, India

Sher of Sayyed Riyaz Raheem

532
Favorite

SORT BY

kitnā dushvār lag rahā thā safar

dekho ham aa ga.e vahāñ se yahāñ

kitna dushwar lag raha tha safar

dekho hum aa gae wahan se yahan

bahut ghāTe meñ hai urdu zabāñ kyoñ

mohabbat zabāñ hote hue bhī

bahut ghaTe mein hai urdu zaban kyon

mohabbat ki zaban hote hue bhi

tere kahne se chup nahīñ huuñ maiñ

jāntā huuñ ki bolnā kab hai

tere kahne se chup nahin hun main

jaanta hun ki bolna kab hai

hoñT apne haiñ daañt bhī apne

kyā shikāyat kareñ kisī se ham

honT apne hain dant bhi apne

kya shikayat karen kisi se hum

shor meñ nafrat ke merī baat zaa.e.a ho ga.ī

merā kahnā aur thā un samajhnā aur thā

shor mein nafrat ke meri baat zaea ho gai

mera kahna aur tha un ka samajhna aur tha

nazar rakhte haiñ us har adā par

ba-zāhir be-ḳhabar hote hue bhī

nazar rakhte hain us ki har ada par

ba-zahir be-KHabar hote hue bhi

ek tum ho ki tumheñ sochnā aatā nahīñ

ek ham haiñ ki bahut soch ke nuqsān meñ haiñ

ek tum ho ki tumhein sochna aata hi nahin

ek hum hain ki bahut soch ke nuqsan mein hain

ab tire shahr meñ rahnā koī āsān kahāñ

sab mujhe tere havāle se pahchānte haiñ

ab tere shahr mein rahna koi aasan kahan

sab mujhe tere hawale hi se pahchante hain

hādse se hādse tak zindagī hai safar

beach meñ ḳhushiyāñ haiñ kuchh vo bhī ġhamoñ ke saath haiñ

hadse se hadse tak zindagi ka hai safar

beach mein KHushiyan hain kuchh wo bhi ghamon ke sath hain

āsmāñ kah rahā hai apnī baat

ai zamīñ terā tajraba kyā hai

aasman kah raha hai apni baat

ai zamin tera tajraba kya hai

ab aur kyā kahūñ maiñ mohabbat ke baab meñ

maiñ un ke saath huuñ jo mohabbat ke saath haiñ

ab aur kya kahun main mohabbat ke bab mein

main un ke sath hun jo mohabbat ke sath hain

ab to sannāTe bhī achchhe nahīñ lagte ham ko

shor sunte the kabhī shor machāte the kabhī

ab to sannaTe bhi achchhe nahin lagte hum ko

shor sunte the kabhi shor machate the kabhi

kamī jo aane lagī hai hamārī vahshat meñ

hamāre haath se sahrā nikal bhī saktā hai

kami jo aane lagi hai hamari wahshat mein

hamare hath se sahra nikal bhi sakta hai

ajiib ḳhauf aalam hai apne chāroñ taraf

safar meñ lagtā hai ye āḳhirī safar to nahīñ

ajib KHauf ka aalam hai apne chaaron taraf

safar mein lagta hai ye aaKHiri safar to nahin

mire ghar meñ rahnā chāhtī hai

mohabbat dar-ba-dar hote hue bhī

mere hi ghar mein rahna chahti hai

mohabbat dar-ba-dar hote hue bhi

bahut kuchh kaam ham sab kar chuke haiñ

diloñ meñ ghar banānā rah gayā hai

bahut kuchh kaam hum sab kar chuke hain

dilon mein ghar banana rah gaya hai

shāyad jaḌoñ ke zahr ne shāḳhoñ ko chhū liyā

uḌtā huā shajar se parinda dikhā.ī de

shayad jaDon ke zahr ne shaKHon ko chhu liya

uDta hua shajar se parinda dikhai de

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now