Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Shafiq Jaunpuri's Photo'

Shafiq Jaunpuri

1902 - 1963 | Jaunpur, India

Sher of Shafiq Jaunpuri

ishq ibtidā to jānte haiñ

ishq intihā nahīñ mālūm

ishq ki ibtida to jaante hain

ishq ki intiha nahin malum

tujhe ham dopahar dhuup meñ dekheñge ai ġhunche

abhī shabnam ke rone par hañsī ma.alūm hotī hai

tujhe hum dopahar ki dhup mein dekhenge ai ghunche

abhi shabnam ke rone par hansi malum hoti hai

jalā vo sham.a ki āñdhī jise bujhā na sake

vo naqsh ban ki zamāna jise miTā na sake

jala wo shama ki aandhi jise bujha na sake

wo naqsh ban ki zamana jise miTa na sake

fareb-e-raushnī meñ aane vaalo maiñ na kahtā thā

ki bijlī āshiyāne nigahbāñ ho nahīñ saktī

fareb-e-raushni mein aane walo main na kahta tha

ki bijli aashiyane ki nigahban ho nahin sakti

aa gayā thā ek din lab par jafāoñ gilā

aaj tak jab un se milte haiñ to sharmāte haiñ ham

aa gaya tha ek din lab par jafaon ka gila

aaj tak jab un se milte hain to sharmate hain hum

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now