Sher of Syed Zameer Jafri
ham ne kitne dhoke meñ sab jīvan kī barbādī kī
gaal pe ik til dekh ke un ke saare jism se shādī kī
hum ne kitne dhoke mein sab jiwan ki barbaadi ki
gal pe ek til dekh ke un ke sare jism se shadi ki
bahan kī iltijā maañ kī mohabbat saath chaltī hai
vafā-e-dostāñ bahr-e-mashaqqat saath chaltī hai
bahan ki iltija man ki mohabbat sath chalti hai
wafa-e-dostan bahr-e-mashaqqat sath chalti hai
ab ik rūmāl mere saath kā hai
jo merī vālida ke haath kā hai
ab ek rumal mere sath ka hai
jo meri walida ke hath ka hai
-
Tag : Mother
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ek lamha bhī masarrat kā bahut hotā hai
log jiine kā salīqa hī kahāñ rakhte haiñ
ek lamha bhi masarrat ka bahut hota hai
log jine ka saliqa hi kahan rakhte hain
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
hañs magar hañsne se pahle soch le
ye na ho phir umr bhar ronā paḌe
hans magar hansne se pahle soch le
ye na ho phir umr bhar rona paDe
un kā darvāza thā mujh se bhī sivā mushtāq-e-dīd
maiñ ne bāhar kholnā chāhā to vo andar khulā
un ka darwaza tha mujh se bhi siwa mushtaq-e-did
main ne bahar kholna chaha to wo andar khula
dard meñ lazzat bahut ashkoñ meñ ra.anā.ī bahut
ai ġham-e-hastī hameñ duniyā pasand aa.ī bahut
dard mein lazzat bahut ashkon mein ranai bahut
ai gham-e-hasti hamein duniya pasand aai bahut
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
zāhid ḳhudī-farosh to vaa.iz ḳhudā-farosh
donoñ buzurg merī nazar se guzar ga.e
zahid KHudi-farosh to waiz KHuda-farosh
donon buzurg meri nazar se guzar gae
maiñ ne har file kī dumchī par ye misra' likh diyā
kaam ho saktā nahīñ sarkār maiñ roze se huuñ
main ne har file ki dumchi par ye misra' likh diya
kaam ho sakta nahin sarkar main roze se hun
jitnā baḌhtā gayā shu.ūr-e-hunar
ḳhud ko utnā hī be-hunar jaanā
jitna baDhta gaya shuur-e-hunar
KHud ko utna hi be-hunar jaana
buā ko to dekho na gahnā na paatā
bajaT haath meñ jaise dhobin kā khātā
bua ko to dekho na gahna na pata
bajaT hath mein jaise dhobin ka khata
har havāle se munfarid 'ġhālib'
dāḌhī rakhte sharāb piite the
har hawale se munfarid 'ghaalib'
daDhi rakhte sharab pite the
hamārā mulk agar qarze meñ jakḌā hai to kyā hairat
hamāre mulk kā to ik vazīr-e-āzam udhārā thā
hamara mulk agar qarze mein jakDa hai to kya hairat
hamare mulk ka to ek wazir-e-azam udhaara tha
yuuñ kāñptā hai shaiḳh ḳhayāl-e-sharāb se
jaise kabhī ye Duub gayā thā sharāb meñ
yun kanpta hai shaiKH KHayal-e-sharab se
jaise kabhi ye Dub gaya tha sharab mein
ghar rahte to donoñ haiñ isī ek makāñ meñ
biivī kā jahāñ aur hai shauhar kā jahāñ aur
ghar rahte to donon hain isi ek makan mein
biwi ka jahan aur hai shauhar ka jahan aur
idhar kone meñ jo ik majlis-e-bedār baiThī hai
kirā.e par election ke liye tayyār baiThī hai
idhar kone mein jo ek majlis-e-bedar baiThi hai
kirae par election ke liye tayyar baiThi hai
mahñgā.ī kī tahlīl meñ jab jism TaTolā
ma.alūm huā ham to kamar bhī nahīñ rakhte
mahngai ki tahlil mein jab jism TaTola
malum hua hum to kamar bhi nahin rakhte
kitnā shātir hai siyāsat-dān apne mulk kā
aur bhī maqbūl ho jaatā hai badnāmī ke baa'd
kitna shatir hai siyasat-dan apne mulk ka
aur bhi maqbul ho jata hai badnami ke ba'd
diloñ kā farsh bichhā hai jidhar nigāh karo
tumhārā ghar bhī diloñ kā kabāḌ-ḳhāna hai
dilon ka farsh bichha hai jidhar nigah karo
tumhaara ghar bhi dilon ka kabaD-KHana hai
aadmī se sulūk duniyā kā
jaise anDā talā kare koī
aadmi se suluk duniya ka
jaise anDa tala kare koi
jaise sach kuchh bhī nahīñ jaise ḳhudā koī nahīñ
kis qadar ummīdeñ vābasta haiñ uncle-sām se
jaise sach kuchh bhi nahin jaise KHuda koi nahin
kis qadar ummiden wabasta hain uncle-sam se
hameñ to jitne american mile haiñ
samajhte kam haiñ samjhāte bahut haiñ
hamein to jitne american mile hain
samajhte kam hain samjhate bahut hain
Dar hai tote hī na khā jaa.eñ mujhe
nāshpātī jaisā sar rakhtā huuñ maiñ
Dar hai tote hi na kha jaen mujhe
nashpati jaisa sar rakhta hun main
sach hai mashriq aur maġhrib ek ho sakte nahīñ
us taraf biivī khulī hai is taraf shauhar khulā
sach hai mashriq aur maghrib ek ho sakte nahin
us taraf biwi khuli hai is taraf shauhar khula
miyāñ 'gul-sher' tum bhī to havā ke ruḳh ko pahchāno
jahāñ saaḌī chalī jaatī hai phulkārī nahīñ jaatī
miyan 'gul-sher' tum bhi to hawa ke ruKH ko pahchano
jahan saDi chali jati hai phulkari nahin jati
kabhī vaqt-e-ḳhirām aayā to tyre kā salām aayā
''tham ai rah rau ki shāyad phir koī mushkil maqām āyā''
kabhi waqt-e-KHiram aaya to tyre ka salam aaya
tham ai rah rau ki shayad phir koi mushkil maqam aaya
-
Tag : Tanz-o-Mizah
ġham-e-daurāñ se ab to ye bhī naubat aa ga.ii, aksar
kisī murġhī se Takrā.ī to ḳhud chakrā ga.ii, aksar
gham-e-dauran se ab to ye bhi naubat aa gai, aksar
kisi murghi se Takrai to KHud chakra gai, aksar
-
Tag : Tanz-o-Mizah
aisī qismat kahāñ 'zamīr' apnī
aa ke pīchhe se ''tā'' kare koī
aisi qismat kahan 'zamir' apni
aa ke pichhe se ta kare koi
yuuñ to har chiiz hai yahāñ ḳhālis
lekin aulād meñ milāvaT hai
yun to har chiz hai yahan KHalis
lekin aulad mein milawaT hai
ye khaa.e roTiyāñ merī vo noche boTiyāñ merī
chaman meñ har taraf uḌtī huī lañgoTiyāñ merī
ye khae roTiyan meri wo noche boTiyan meri
chaman mein har taraf uDti hui langoTiyan meri
diin to bachtā nazar aatā nahīñ newyork meñ
zulf hī apnī bachā le jā.iye hajjām se
din to bachta nazar aata nahin newyork mein
zulf hi apni bacha le jaiye hajjam se
us ne kī pahle-pahal paimā.ish-e-sahrā-e-najd
qais hai dar-asl ik mash.hūr panvāḌī kā naam
us ne ki pahle-pahal paimaish-e-sahra-e-najd
qais hai dar-asl ek mashhur panwaDi ka nam