Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Waseem Haidar's Photo'

Waseem Haidar

1996 | Jhang, Pakistan

Waseem Haidar

Ghazal 13

Nazm 1

 

Sher-o-Shayari 11

qaid kartā huuñ hasrateñ dil meñ

phir inheñ ḳhud-kushī sikhātā huuñ

qaid karta hun hasraten dil mein

phir inhen KHud-kushi sikhata hun

tujh ko ho mere lams ḳhvāhish shadīd-tar

tujh se tamām 'umr mirā sāmnā na ho

tujh ko ho mere lams ki KHwahish shadid-tar

tujh se tamam 'umr mera samna na ho

suntā rahtā huuñ to vo kuchh bhī kahe jaatā hai

us ko lagtā hai ki me'yār yahī hai apnā

sunta rahta hun to wo kuchh bhi kahe jata hai

us ko lagta hai ki me'yar yahi hai apna

  • Share this

havas na puurī huī jab kahīñ to 'ilm huā

tire badan rahā mujh ko aasrā baḌī der

hawas na puri hui jab kahin to 'ilm hua

tere badan ka raha mujh ko aasra baDi der

ab vo achchhā mujhe pasand nahīñ

jo burā bhī qubūl hotā thā

ab wo achchha mujhe pasand nahin

jo bura bhi qubul hota tha

  • Share this

More Poets From "Jhang"

Recitation

Jashn-e-Rekhta 10th Edition | 5-6-7 December Get Tickets Here

Speak Now