Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Zuhoor Nazar's Photo'

Zuhoor Nazar

1923 - 1981 | Bahawalpur, Pakistan

Sher of Zuhoor Nazar

1.7K
Favorite

SORT BY

sunte haiñ chamaktā hai vo chāñd ab bhī sar-e-bām

hasrat hai ki bas ek nazar dekh leñ ham bhī

sunte hain chamakta hai wo chand ab bhi sar-e-baam

hasrat hai ki bas ek nazar dekh len hum bhi

paas hamāre aakar tum begāna se kyuuñ ho

chāho to ham phir kuchh duurī par chhoḌ aa.eñ tumheñ

pas hamare aakar tum begana se kyun ho

chaho to hum phir kuchh duri par chhoD aaen tumhein

vo bhī shāyad ro paḌe vīrān kāġhaz dekh kar

maiñ ne us ko āḳhirī ḳhat meñ likhā kuchh bhī nahīñ

wo bhi shayad ro paDe viran kaghaz dekh kar

main ne us ko aaKHiri KHat mein likha kuchh bhi nahin

na so sakā huuñ na shab jaag kar gizārī hai

ajiib din haiñ sukūñ hai na be-qarārī hai

na so saka hun na shab jag kar gizari hai

ajib din hain sukun hai na be-qarari hai

vo jise saare zamāne ne kahā merā raqīb

maiñ ne us ko ham-safar jaanā ki us bhī thī

wo jise sare zamane ne kaha mera raqib

main ne us ko ham-safar jaana ki tu us ki bhi thi

luT gayā hai safar meñ jo kuchh thā

paas apne makān tak bhī nahīñ

luT gaya hai safar mein jo kuchh tha

pas apne makan tak bhi nahin

apnī sūrat bigaḌ ga.ī lekin

ham unheñ ā.īna dikhā ke rahe

apni surat bigaD gai lekin

hum unhen aaina dikha ke rahe

ḳhud ko paane talab meñ aarzū us bhī thī

maiñ jo mil jaatā to us meñ aabrū us bhī thī

KHud ko pane ki talab mein aarzu us ki bhi thi

main jo mil jata to us mein aabru us ki bhi thi

ghar se us bhī nikalnā ho gayā āḳhir muhāl

merī rusvā.ī se shohrat kū-ba-kū us bhī thī

ghar se us ka bhi nikalna ho gaya aaKHir muhaal

meri ruswai se shohrat ku-ba-ku us ki bhi thi

barsoñ se khaḌā huuñ haath uThā.e

tāsīr-e-duā muntazir huuñ

barson se khaDa hun hath uThae

tasir-e-dua ka muntazir hun

bād-e-tark-e-ulfat bhī yuuñ to ham jiye lekin

vaqt be-tarah biitā umr be-sabab guzrī

baad-e-tark-e-ulfat bhi yun to hum jiye lekin

waqt be-tarah bita umr be-sabab guzri

tanhā.ī na pūchh apnī ki saath ahl-e-junūñ ke

chalte haiñ faqat chand qadam raah ke ḳham bhī

tanhai na puchh apni ki sath ahl-e-junun ke

chalte hain faqat chand qadam rah ke KHam bhi

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now