auron ke ghar jala ke qayamat na kar saka
auroñ ke ghar jalā ke qayāmat na kar sakā
ghar jal gayā magar maiñ shikāyat na kar sakā
us ne mujhe tabāh kiyā is ke bāvajūd
do chaar din bhī us se maiñ nafrat na kar sakā
apne se baḌh ke tujh pe mujhe e'timād thā
afsos tū bhī merī hifāzat na kar sakā
maiñ ne bhī apnī maut ko dekhā qarīb se
aur us ke baa'd jiine kī hasrat na kar sakā
masjid shahīd hone kā ġham to kiyā magar
ik baar bhī maiñ us meñ 'ibādat na kar sakā
sach hai vatan se apne mohabbat nahīñ mujhe
shāyad isī vajah se maiñ hijrat na kar sakā
'alvī' ġhalat-bayāniyāñ dete rahe sabhī
sach bolne kī ek bhī himmat na kar sakā
auron ke ghar jala ke qayamat na kar saka
ghar jal gaya magar main shikayat na kar saka
us ne mujhe tabah kiya is ke bawajud
do chaar din bhi us se main nafrat na kar saka
apne se baDh ke tujh pe mujhe e'timad tha
afsos tu bhi meri hifazat na kar saka
main ne bhi apni maut ko dekha qarib se
aur us ke ba'd jine ki hasrat na kar saka
masjid shahid hone ka gham to kiya magar
ek bar bhi main us mein 'ibaadat na kar saka
sach hai watan se apne mohabbat nahin mujhe
shayad isi wajah se main hijrat na kar saka
'alwi' ghalat-bayaniyan dete rahe sabhi
sach bolne ki ek bhi himmat na kar saka
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 75)
- Author :Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.