jab usko chhoD kar bahar gaya tha
jab us ko chhoḌ kar bāhar gayā thā
mujhe jis-jis ne dekhā Dar gayā thā
nihatthā thā maiñ talvāroñ ke aage
agar baazū bachātā sar gayā thā
muqaddar thā ḳhalā jaisā tajarrud
maiñ jis raftār se uupar gayā thā
tū koshish kar ki āñkheñ ḳhālī ho jaa.eñ
hamārā zaḳhm aise bhar gayā thā
dikhā.e zindagī bhar saath ke ḳhvāb
phir ik shab niiñd meñ vo mar gayā thā
lagā nā dasht se aayā huuñ 'najmī'
maiñ halfan kah rahā huuñ ghar gayā thā
jab us ko chhoD kar bahar gaya tha
mujhe jis-jis ne dekha Dar gaya tha
nihattha tha main talwaron ke aage
agar bazu bachata sar gaya tha
muqaddar tha KHala jaisa tajarrud
main jis raftar se upar gaya tha
tu koshish kar ki aankhen KHali ho jaen
hamara zaKHm aise bhar gaya tha
dikhae zindagi bhar sath ke KHwab
phir ek shab nind mein wo mar gaya tha
laga na dasht se aaya hun 'najmi'
main halfan kah raha hun ghar gaya tha
- Book : Aakhiri Tasveer (Pg. 71)
- Author : Umair Nazmi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.